ahmaqon ki conference
ik ḳhabar ham ne paḌhī thī kal kisī aḳhbār meñ
ahmaqoñ kā ek jalsa thā kahīñ bāzār meñ
har namūne kā chuġhad hāzir thā is darbār meñ
jaise har Type kā āshiq kūcha-e-dildār meñ
thā har ik mehmāñ yahāñ nā-ḳhvāñda o ḳhud-sāḳhta
koī un meñ sāhib-e-dil thā koī dil-bāḳhta
sab se pahle ik baḌā ahmaq huā yuuñ sho.ala-bār
gentleman and ladies aar what ever yū aar
aaj a.asāb-e-vatan par aql-o-dānish haiñ savār
ḳhatm hotā jā rahā hai ahmaqoñ kā eqtidār
ahmaqo jaago tumhārī aabrū ḳhatre meñ hai
jis ke sākin ho vo shahr-e-ārzū ḳhatre meñ hai
har himāqat kā koī mafhūm honā chāhiye
kyuuñ himāqat kī ga.ī ma.alūm honā chāhiye
aadmī ko aql se mahrūm honā chāhiye
kyā zarūrat hai humā kī buum honā chāhiye
is liye ham ne banāyā hai ye manifesto
''man tirā ahmaq bagoyam tū murā ahmaq bago''
bhūltī jaatī hai duniyā ab ye qaul-e-mustanad
aql chuuñ puḳhta shavad insān ahmaq mī shavad
fitratan ahmaq ho jo insāñ nahīñ hotā vo bad
vo himāqat sab se achchhī kuchh nahīñ ho jis kī had
kuchh sahī ik ḳhar mohabbat us kā nasabulain hai
vo bhī us insāñ se achchhā hai jo business-main hai
ab rahā ye mas.ala kapḌe nahīñ haiñ apne paas
is ke baare meñ resolution kiyā jā.egā paas
atlas o kam-ḳhvāb ko ham nahīñ ā.eñge raas
sab se achchhā hai ki pahneñ log pattoñ kā libās
nāriyal aur kele kā pata ho yā injīr kā
qudratī ho pairahan har paikar-e-tasvīr kā
ek KHabar hum ne paDhi thi kal kisi aKHbar mein
ahmaqon ka ek jalsa tha kahin bazar mein
har namune ka chughad hazir tha is darbar mein
jaise har Type ka aashiq kucha-e-dildar mein
tha har ek mehman yahan na-KHwanda o KHud-saKHta
koi un mein sahib-e-dil tha koi dil-baKHta
sab se pahle ek baDa ahmaq hua yun shoala-bar
gentleman and ladies aar what ewer yu aar
aaj aasab-e-watan par aql-o-danish hain sawar
KHatm hota ja raha hai ahmaqon ka eqtidar
ahmaqo jago tumhaari aabru KHatre mein hai
jis ke sakin ho wo shahr-e-arzu KHatre mein hai
har himaqat ka koi mafhum hona chahiye
kyun himaqat ki gai malum hona chahiye
aadmi ko aql se mahrum hona chahiye
kya zarurat hai huma ki bum hona chahiye
is liye hum ne banaya hai ye manifesto
man tera ahmaq bagoyam tu mura ahmaq bago
bhulti jati hai duniya ab ye qaul-e-mustanad
aql chun puKHta shawad insan ahmaq mi shawad
fitratan ahmaq ho jo insan nahin hota wo bad
wo himaqat sab se achchhi kuchh nahin ho jis ki had
kuchh sahi ek KHar mohabbat us ka nasabulain hai
wo bhi us insan se achchha hai jo business-main hai
ab raha ye masala kapDe nahin hain apne pas
is ke bare mein resolution kiya jaega pas
atlas o kam-KHwab ko hum nahin aaenge ras
sab se achchha hai ki pahnen log patton ka libas
nariyal aur kele ka pata ho ya injir ka
qudrati ho pairahan har paikar-e-taswir ka
- Book : Kulliyat Dilawar Figar (Pg. 108)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.