ai gham-e-dil kya karun ai wahshat-e-dil kya karun
pahlī baar aa.ī dulhan sasurāl vo bhī be-naqāb
sharm ā.ankhoñ se jhalaktī hai na hai chehre pe aab
jaise ruḳh par jhurriyāñ hoñ jaise bāloñ meñ ḳhizāb
kirkirā sā ho gayā shādī kā hāsil kyā karūñ
ai ġham-e-dil kyā karūñ ai vahshat-e-dil kyā karūñ
kaan kis ke garm kar duuñ chāñTā kis ke jaaḌ duuñ
kis kā dāman phaaḌ duuñ kis kā garebāñ phaaḌ duuñ
mahfil-e-ahbāb meñ vahshat kā jhanDā gaaḌ duuñ
shar-pasandoñ kā hai ik relā muqābil kyā karūñ
ai ġham-e-dil kyā karūñ ai vahshat-e-dil kyā karūñ
kis ko maiñ bekār kar duuñ kis kī āñkheñ phoḌ duuñ
kis ke baazū kaaT duuñ kis kī kalā.ī moḌ duuñ
sab muḳhālif haiñ yahāñ kis kis ke sar ko phoḌ duuñ
baḌh rahī haiñ uljhaneñ manzil-ba-manzil kyā karūñ
ai ġham-e-dil kyā karūñ ai vahshat-e-dil kyā karūñ
be-amal haiñ phir bhī kahte haiñ ki dīn-dāroñ meñ haiñ
pārsā kahte haiñ ḳhud ko jo gunahgāroñ meñ haiñ
surḳh dhabbe ḳhuun ke galiyoñ meñ bāzāroñ meñ haiñ
har taraf mujh ko nazar aate haiñ qātil kyā karūñ
ai ġham-e-dil kyā karūñ ai vahshat-e-dil kyā karūñ
apnī bekārī se tañg aa ke jo maiñ marne gayā
jis ghaḌī maiñ ne pahāḌī se thā chāhā kūdnā
apnī baarī pe mareñ ye ek sāhab ne kahā
jiinā bhī mushkil hai marnā bhī hai mushkil kyā karūñ
ai ġham-e-dil kyā karūñ ai vahshat-e-dil kyā karūñ
pahli bar aai dulhan sasural wo bhi be-naqab
sharm aaankhon se jhalakti hai na hai chehre pe aab
jaise ruKH par jhurriyan hon jaise baalon mein KHizab
kirkira sa ho gaya shadi ka hasil kya karun
ai gham-e-dil kya karun ai wahshat-e-dil kya karun
kan kis ke garm kar dun chanTa kis ke jaD dun
kis ka daman phaD dun kis ka gareban phaD dun
mahfil-e-ahbab mein wahshat ka jhanDa gaD dun
shar-pasandon ka hai ek rela muqabil kya karun
ai gham-e-dil kya karun ai wahshat-e-dil kya karun
kis ko main bekar kar dun kis ki aankhen phoD dun
kis ke bazu kaT dun kis ki kalai moD dun
sab muKHalif hain yahan kis kis ke sar ko phoD dun
baDh rahi hain uljhanen manzil-ba-manzil kya karun
ai gham-e-dil kya karun ai wahshat-e-dil kya karun
be-amal hain phir bhi kahte hain ki din-daron mein hain
parsa kahte hain KHud ko jo gunahgaron mein hain
surKH dhabbe KHun ke galiyon mein bazaron mein hain
har taraf mujh ko nazar aate hain qatil kya karun
ai gham-e-dil kya karun ai wahshat-e-dil kya karun
apni bekari se tang aa ke jo main marne gaya
jis ghaDi main ne pahaDi se tha chaha kudna
apni bari pe maren ye ek sahab ne kaha
jina bhi mushkil hai marna bhi hai mushkil kya karun
ai gham-e-dil kya karun ai wahshat-e-dil kya karun
- Book : Papular Kalam (Pg. 87)
- Author : Sayed Ejazuddin Shah Papular Merthi
- Publication : S.K. Rastogi for Krishna Prakashan Media (P) Ltd.
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.