badnam isi waste hain shahr mein ghazlen
badnām isī vāste haiñ shahr meñ ġhazleñ
likhtā hai tavīl aur baḌī bahr meñ ġhazleñ
paḌhtā hai to maqta' kā pata tak nahīñ chaltā
sāme’ ko lageñ kyoñ na bujhī zahr meñ ġhazleñ
jī chāhe use jā ke maiñ lahroñ meñ Dubo duuñ
jis vaqt sunātā hai mujhe lahr meñ ġhazleñ
kuchh vaqt jo us shaḳhs kī sohbat meñ guzāre
ā.eñgī nazar sirf use dahr meñ ġhazleñ
vo raat talak mujh ko sunā kar hī Talegā
kam-baḳht ne likkhī haiñ jo sah-pahr meñ ġhazleñ
kāġhaz tire bhīge hue kyoñ haiñ to vo bolā
begam ne bahā Daalī thiiñ kal nahr meñ ġhazleñ
badnam isi waste hain shahr mein ghazlen
likhta hai tawil aur baDi bahr mein ghazlen
paDhta hai to maqta' ka pata tak nahin chalta
same’ ko lagen kyon na bujhi zahr mein ghazlen
ji chahe use ja ke main lahron mein Dubo dun
jis waqt sunata hai mujhe lahr mein ghazlen
kuchh waqt jo us shaKHs ki sohbat mein guzare
aaengi nazar sirf use dahr mein ghazlen
wo raat talak mujh ko suna kar hi Talega
kam-baKHt ne likkhi hain jo sah-pahr mein ghazlen
kaghaz tere bhige hue kyon hain to wo bola
begam ne baha Dali thin kal nahr mein ghazlen
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.