baiThe hain
jo mai-ḳhāne meñ saaqī kī jagah ḳharkār baiThe haiñ
to masjid meñ bhī maulānā azābunnār baiThe haiñ
ḳhudāvandā ye tere sāda-dil bande kahāñ jaa.eñ
yahāñ laTh-mār baiThe haiñ vahāñ laTh maar baiThe haiñ
ye maktab hai yahāñ tiflān-e-dil-afgār baiThe haiñ
hazāroñ baar uTThe haiñ hazāroñ baar baiThe haiñ
talāsh-e-ilm kī aisī sazā dī hai moallim ne
nahīñ uThne kī tāqat kyā kareñ nā-chār baiThe haiñ
club hai is meñ kuchh ḳhūbān-e-ḳhushbū-dār baiThe haiñ
ḳhudā rakkhe farañgī daur ke āsār baiThe haiñ
gunāh-e-bā-salīqa kar ke kahte haiñ ye aapas meñ
ġhanīmat hai ki ham-sūrat yahāñ do chaar baiThe haiñ
ye daftar hai yahāñ afsar bane talvār baiThe haiñ
bichāre mātahat chāqū pe rakhe dhaar baiThe haiñ
sahar se shaam tak chaltī rahī hai chaa.e par chaa.e
na ye be-kār baiThe haiñ na vo be-kār baiThe haiñ
jo mai-KHane mein saqi ki jagah KHarkar baiThe hain
to masjid mein bhi maulana azabunnar baiThe hain
KHudawanda ye tere sada-dil bande kahan jaen
yahan laTh-mar baiThe hain wahan laTh mar baiThe hain
ye maktab hai yahan tiflan-e-dil-afgar baiThe hain
hazaron bar uTThe hain hazaron bar baiThe hain
talash-e-ilm ki aisi saza di hai moallim ne
nahin uThne ki taqat kya karen na-chaar baiThe hain
club hai is mein kuchh KHuban-e-KHushbu-dar baiThe hain
KHuda rakkhe farangi daur ke aasar baiThe hain
gunah-e-ba-saliqa kar ke kahte hain ye aapas mein
ghanimat hai ki ham-surat yahan do chaar baiThe hain
ye daftar hai yahan afsar bane talwar baiThe hain
bichaare matahat chaqu pe rakhe dhaar baiThe hain
sahar se sham tak chalti rahi hai chae par chae
na ye be-kar baiThe hain na wo be-kar baiThe hain
- Book : Muntakhab Shahekar Mazahiya Shayari (Pg. 127)
- Author : Roohi Kanjahi
- Publication : Alhamd Publications (1992)
- Edition : 1992
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.