bana kar koi achchha sa bahana chhoD deta hun
banā kar koī achchhā sā bahāna chhoḌ detā huuñ
musībat ho jahāñ yaarī nibhānā chhoḌ detā huuñ
paḌosī pīTte haiñ jab darīche aur darvāze
maiñ Thumrī chheḌ detā huuñ tarānā chhoḌ detā huuñ
agar dāvat meñ shak guzre ki khānā thuḌne vaalā hai
maiñ khāne baiTh jaatā huuñ khilānā chhoḌ detā huuñ
kabhī daftar meñ vārid ho agar sāhab ġhusailā sā
to us din us ke kamre meñ hī jaanā chhoḌ detā huuñ
hasīnoñ ko nahīñ jachtā koī bhī ainakī chehra
jahāñ vo hoñ vahāñ ainak lagānā chhoḌ detā huuñ
bana kar koi achchha sa bahana chhoD deta hun
musibat ho jahan yari nibhana chhoD deta hun
paDosi piTte hain jab dariche aur darwaze
main Thumri chheD deta hun tarana chhoD deta hun
agar dawat mein shak guzre ki khana thuDne wala hai
main khane baiTh jata hun khilana chhoD deta hun
kabhi daftar mein warid ho agar sahab ghusaila sa
to us din us ke kamre mein hi jaana chhoD deta hun
hasinon ko nahin jachta koi bhi ainaki chehra
jahan wo hon wahan ainak lagana chhoD deta hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.