bolo hamara kaam hua ya nahin hua
bolo hamārā kaam huā yā nahīñ huā
paisoñ kā intizām huā yā nahīñ huā
tevar bigaḌ ga.e sag-e-lailā ke jis ghaḌī
dīvāna tez-gām huā yā nahīñ huā
leader tamām ho ga.e 'izzat se phir barī
terā ḳhayāl-e-ḳhām huā yā nahīñ huā
taqrīr ke dhanī ho magar us ke rū-barū
pahiya tumhārā jaam huā yā nahīñ huā
chāroñ taraf banī haiñ falak-bos buildingeñ
ūñchā kisī kā naam huā yā nahīñ huā
tum gin rahe ho yaar mire peḌ kis liye
aamoñ kā ehtimām huā yā nahīñ huā
ghar meñ jo chal rahā thā Darāma saver se
kuchh us kā iḳhtitām huā yā nahīñ huā
bolo hamara kaam hua ya nahin hua
paison ka intizam hua ya nahin hua
tewar bigaD gae sag-e-laila ke jis ghaDi
diwana tez-gam hua ya nahin hua
leader tamam ho gae 'izzat se phir bari
tera KHayal-e-KHam hua ya nahin hua
taqrir ke dhani ho magar us ke ru-baru
pahiya tumhaara jam hua ya nahin hua
chaaron taraf bani hain falak-bos buildingen
uncha kisi ka nam hua ya nahin hua
tum gin rahe ho yar mere peD kis liye
aamon ka ehtimam hua ya nahin hua
ghar mein jo chal raha tha Darama sawer se
kuchh us ka iKHtitam hua ya nahin hua
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.