chala kar tir-e-mizhgan yun wo ghabraya nahin karte
chalā kar tīr-e-mizhgāñ yuuñ vo ghabrāyā nahīñ karte
jo marte haiñ hasīnoñ par vo mar jaayā nahīñ karte
bharose par kisī leader ke rahnā ik himāqat hai
ye sūkhe peḌ haiñ yaaro kabhī saaya nahīñ karte
hasīnoñ ko na ghūro shaiḳh jī palkeñ to jhapkāo
za.īfī meñ to itnī raal Tapkāyā nahīñ karte
janāb-e-shaiḳh sattar saal meñ karte ho kyuuñ shādī
nahīñ haiñ daañt to phir gosht bhī khāyā nahīñ karte
unheñ mehmān kahiye ahl-e-ḳhāna kahiye kyā kahiye
jo aa jaate haiñ ik din aaTh din jaayā nahīñ karte
sunā karte haiñ ronā aur gaanā sab ko aatā hai
sadā royā to karte haiñ kabhī gaayā nahīñ karte
tumhāre chīḳhne chillāne kā ho kyā asar mujh par
garajte haiñ jo bādal meñh vo barsāyā nahīñ karte
ġharīboñ kā bahā kar ḳhuun hamdardī jatāte ho
khilaune haath meñ de de ke bahlāyā nahīñ karte
'rahīm' ab kostā kyuuñ hai tirī qismat hī khoTī thī
jo qismat meñ likhā hai us pe pachhtāyā nahīñ karte
chala kar tir-e-mizhgan yun wo ghabraya nahin karte
jo marte hain hasinon par wo mar jaya nahin karte
bharose par kisi leader ke rahna ek himaqat hai
ye sukhe peD hain yaro kabhi saya nahin karte
hasinon ko na ghuro shaiKH ji palken to jhapkao
zaifi mein to itni ral Tapkaya nahin karte
janab-e-shaiKH sattar sal mein karte ho kyun shadi
nahin hain dant to phir gosht bhi khaya nahin karte
unhen mehman kahiye ahl-e-KHana kahiye kya kahiye
jo aa jate hain ek din aaTh din jaya nahin karte
suna karte hain rona aur gana sab ko aata hai
sada roya to karte hain kabhi gaya nahin karte
tumhaare chiKHne chillane ka ho kya asar mujh par
garajte hain jo baadal meinh wo barsaya nahin karte
gharibon ka baha kar KHun hamdardi jatate ho
khilaune hath mein de de ke bahlaya nahin karte
'rahim' ab kosta kyun hai teri qismat hi khoTi thi
jo qismat mein likha hai us pe pachhtaya nahin karte
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.