chalo dil-dar chalo
hai bahut muuD meñ is vaqt dil-e-zār chalo
tum mire saath chalo aur lagātār chalo
bhaaḌ meñ Daalo har ik vaqt kī dīvār chalo
kahīñ gumrāh na ho jaa.e yahāñ pyaar chalo
ham haiñ jab donoñ mohabbat meñ giraftār chalo
chalo dildār chalo chāñd ke paar chalo
ye jo duniyā hai ye ham ko nahīñ milne degī
umr bhar apnī jagah se na ye hilne degī
ishq ke chāk-e-garebāñ ko na silne degī
pyaar ke ġhunchoñ ko hargiz nahīñ khilne degī
aise aalam meñ munāsib nahīñ inkār chalo
chalo dildār chalo chāñd ke paar chalo
Dālte rahte haiñ Dore ye zamāne ke hasīñ
apnī nazroñ meñ haiñ aise ka.ī ġhārat-gar-e-dīñ
tum ko is baat kā ehsās koī hai ki nahīñ
dil na paḌ jaa.e kisī aur ke chakkar meñ kahīñ
merī maano to abhī chhoḌ ke ghar-bār chalo
chalo dildār chalo chāñd ke paas chalo
rah ke is duniyā meñ tum ne abhī dekhā kyā hai?
bas ye socho ki mohabbat kā taqāza kyā hai?
rishta-dāroñ kī ināyat kā bharosa kyā hai?
saath haiñ ham jo tumhāre tumheñ khaTkā kyā hai?
ab to rahne do bahut ho chukī takrār chalo
chalo dildār chalo chāñd ke paar chalo
ḳhauf-e-rusvā.ī koī chāñd kī duniyā meñ nahīñ
maamī yā taa.ī koī chāñd kī duniyā meñ nahīñ
ek harjā.ī koī chāñd kī duniyā meñ nahīñ
aap kā bhaa.ī koī chāñd kī duniyā meñ nahīñ
ḳhush-nasībī ke nazar aate haiñ āsār, chalo
chalo dildār chalo chāñd ke paar chalo
chāñd ke paar sunā hai ki fazā achchhī hai
surḳh ho jāogī tum āb-o-havā achchhī hai
jis jagah ham haiñ yahāñ se to zarā achchhī hai
maan lo raa.e hamārī ba-ḳhudā achchhī hai
aa.e din tum to yahāñ rahtī ho bīmār chalo
chalo dildār chalo chāñd ke paar chalo
hai bahut muD mein is waqt dil-e-zar chalo
tum mere sath chalo aur lagatar chalo
bhaD mein Dalo har ek waqt ki diwar chalo
kahin gumrah na ho jae yahan pyar chalo
hum hain jab donon mohabbat mein giraftar chalo
chalo dildar chalo chand ke par chalo
ye jo duniya hai ye hum ko nahin milne degi
umr bhar apni jagah se na ye hilne degi
ishq ke chaak-e-gareban ko na silne degi
pyar ke ghunchon ko hargiz nahin khilne degi
aise aalam mein munasib nahin inkar chalo
chalo dildar chalo chand ke par chalo
Dalte rahte hain Dore ye zamane ke hasin
apni nazron mein hain aise kai ghaarat-gar-e-din
tum ko is baat ka ehsas koi hai ki nahin
dil na paD jae kisi aur ke chakkar mein kahin
meri mano to abhi chhoD ke ghar-bar chalo
chalo dildar chalo chand ke pas chalo
rah ke is duniya mein tum ne abhi dekha kya hai?
bas ye socho ki mohabbat ka taqaza kya hai?
rishta-daron ki inayat ka bharosa kya hai?
sath hain hum jo tumhaare tumhein khaTka kya hai?
ab to rahne do bahut ho chuki takrar chalo
chalo dildar chalo chand ke par chalo
KHauf-e-ruswai koi chand ki duniya mein nahin
mami ya tai koi chand ki duniya mein nahin
ek harjai koi chand ki duniya mein nahin
aap ka bhai koi chand ki duniya mein nahin
KHush-nasibi ke nazar aate hain aasar, chalo
chalo dildar chalo chand ke par chalo
chand ke par suna hai ki faza achchhi hai
surKH ho jaogi tum aab-o-hawa achchhi hai
jis jagah hum hain yahan se to zara achchhi hai
man lo rae hamari ba-KHuda achchhi hai
aae din tum to yahan rahti ho bimar chalo
chalo dildar chalo chand ke par chalo
- Book : Papular Kalam (Pg. 83)
- Author : Sayed Ejazuddin Shah Papular Merthi
- Publication : S.K. Rastogi for Krishna Prakashan Media (P) Ltd.
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.