chhuTTi
hamesha hī se rahte haiñ ye donoñ shaad chhuTTī par
kabhī shāgird chhuTTī par kabhī ustād chhuTTī par
achānak ittilā’ paa.eñ jo agle roz chhuTTī kī
baḌī be-sāḳhta dete haiñ donoñ daad chhuTTī par
koī pūchhe ki kaise amn qaa.em ho idāroñ meñ
to us kī taan toḌeñge ye ādam-zād chhuTTī par
nahīñ khaltā kisī bhī shaḳhsiyat kā din manānā ho
to hote haiñ usī din qaum ke afrād chhuTTī par
qadam-ranja na farmā.e agar shīrīñ kabhī college
to muñh laTkā ke chal detā hai har farhād chhuTTī par
kisī din ittifāqan band ho jaa.e agar college
to lagtā hai hameñ saarā hī ‘ishq-ābād chhuTTī par
hamesha hi se rahte hain ye donon shad chhuTTi par
kabhi shagird chhuTTi par kabhi ustad chhuTTi par
achanak ittila’ paen jo agle roz chhuTTi ki
baDi be-saKHta dete hain donon dad chhuTTi par
koi puchhe ki kaise amn qaem ho idaron mein
to us ki tan toDenge ye aadam-zad chhuTTi par
nahin khalta kisi bhi shaKHsiyat ka din manana ho
to hote hain usi din qaum ke afrad chhuTTi par
qadam-ranja na farmae agar shirin kabhi college
to munh laTka ke chal deta hai har farhad chhuTTi par
kisi din ittifaqan band ho jae agar college
to lagta hai hamein sara hi ‘ishq-abaad chhuTTi par
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.