dil surgery ke baad koi dil nahin raha
dil surgery ke ba.ad koī dil nahīñ rahā
ġham kī bhī ghaas khāne ke qābil nahīñ rahā
merī masarratoñ kā sabab bas yahī to hai
maiñ rishvatoñ ke biich meñ haa.il nahīñ rahā
munsif hai kaun kaisī adālat kahāñ kā sach
qātil bhī kah rahā hai ki qātil nahīñ rahā
us ke hī roz-o-shab haiñ vahī kāmyāb hai
jo ḳhud hī apne qaul kā qaa.il nahīñ rahā
pahchān saarī bah ga.ī sailāb-e-shahr meñ
gaañv ke jauhaḌoñ meñ bhī sāhil nahīñ rahā
paise kā mol-tol hai ab ishq kā nahīñ
mahbūb bhī bharose ke qābil nahīñ rahā
is ḳhauf se ki biivī uḌā le kahīñ na jeb
soyā to maiñ zarūr thā ġhāfil nahīñ rahā
nazreñ uThā ke dekhiye ki ab to darmiyāñ
parda vo moTe TaaT kā haa.il nahīñ rahā
dil kā payām phone par ham kis tarah se deñ
choñgā hī sirf rah gayā Dial nahīñ rahā
jab se akaḌ ke 'rāz' maiñ paḌhne lagā huuñ sher
maiñ bhī paḌhe likhoñ meñ huuñ jāhil nahīñ rahā
dil surgery ke baad koi dil nahin raha
gham ki bhi ghas khane ke qabil nahin raha
meri masarraton ka sabab bas yahi to hai
main rishwaton ke bich mein hail nahin raha
munsif hai kaun kaisi adalat kahan ka sach
qatil bhi kah raha hai ki qatil nahin raha
us ke hi roz-o-shab hain wahi kaamyab hai
jo KHud hi apne qaul ka qail nahin raha
pahchan sari bah gai sailab-e-shahr mein
ganw ke jauhaDon mein bhi sahil nahin raha
paise ka mol-tol hai ab ishq ka nahin
mahbub bhi bharose ke qabil nahin raha
is KHauf se ki biwi uDa le kahin na jeb
soya to main zarur tha ghafil nahin raha
nazren uTha ke dekhiye ki ab to darmiyan
parda wo moTe TaT ka hail nahin raha
dil ka payam phone par hum kis tarah se den
chonga hi sirf rah gaya Dial nahin raha
jab se akaD ke 'raaz' main paDhne laga hun sher
main bhi paDhe likhon mein hun jahil nahin raha
- Book : Ghalib aur Durgat (3rt Edition) (Pg. 47)
- Author : T.N. Raz
- Publication : Arshia Publications (2016)
- Edition : 2016
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.