dum-dar nazm
ham kaheñ yā na kaheñ
roz-e-raushan kī tarah
dum kā afsāna farozāñ hī rahā hai ab tak
kulbulātī huī sīmāb sifat aur subuk-rau vo dum
kisī shā.ir ke taḳhayyul kī tarah bāñkī sī
ḳhuub sajtī hai sag-e-lailā par
haa.e afsos vo dum
jo ki nalkī meñ rahī qaid pareshān-o-zubūñ bārah baras
phir bhī niklī to vo TeḌhī niklī
kisī mahbūb ke abrū-e-ḳhamīda kī tarah
kisī shahnāz ke gesū-e-burīda kī tarah
but-e-tannāz ke ausāf-e-hamīda kī tarah
apne markaz kī taraf mā.il-e-parvāz hai dum
dekh kar dum kī vo sīmāb-sifat bāñkī adā
shā.ir-e-vaqt machal jaatā hai
aur pahroñ vo ḳhalāoñ meñ kahīñ
ek begāna tasavvur kī tarah āvāra
saikḌoñ husn-o-mohabbat ke hasīñ naġhmoñ ko
kaaT kar chhāñT ke mehnat se banātā hai sadā
hū-ba-hū dum kī tarah
aur dum jab mire a.asāb pe chhā jaatī hai
hosh uḌ jaate haiñ afkār badal jaate haiñ
saikḌoñ tarah ke hañste hue dum-dār ḳhayāl
phir pareshān mujhe karte haiñ
maiñ taḌap jaatā huuñ
be-sāḳhta kah uThtā huuñ
terī jumbish se numāyāñ hai zamīñ kī jumbish
ai dum
ālam-e-ġhaiz meñ dum jab bhī khaḌī hotī hai
kyā qayāmat kī ghaḌī hotī hai
kaañp jaatā hai jahāñ
hosh rustam ke bhī uḌ jaate haiñ
chaar jānib se sadā aatī hai ai dum ai dum
ab to nīchī ho jā
aur duniyā-e-mohabbat pe kar ehsān ai dum
ya.anī mahbūb ke pīchhe lag jā
taaki dum-dār ye sadiyoñ kā sitamgar ho jaa.e
aur bhāge jo chhuḌā kar kabhī apnā dāman
dum se pakḌā jaa.e
hum kahen ya na kahen
roz-e-raushan ki tarah
dum ka afsana farozan hi raha hai ab tak
kulbulati hui simab sifat aur subuk-rau wo dum
kisi shair ke taKHayyul ki tarah banki si
KHub sajti hai sag-e-laila par
hae afsos wo dum
jo ki nalki mein rahi qaid pareshan-o-zubun barah baras
phir bhi nikli to wo TeDhi nikli
kisi mahbub ke abru-e-KHamida ki tarah
kisi shahnaz ke gesu-e-burida ki tarah
but-e-tannaz ke ausaf-e-hamida ki tarah
apne markaz ki taraf mail-e-parwaz hai dum
dekh kar dum ki wo simab-sifat banki ada
shair-e-waqt machal jata hai
aur pahron wo KHalaon mein kahin
ek begana tasawwur ki tarah aawara
saikDon husn-o-mohabbat ke hasin naghmon ko
kaT kar chhanT ke mehnat se banata hai sada
hu-ba-hu dum ki tarah
aur dum jab mere aasab pe chha jati hai
hosh uD jate hain afkar badal jate hain
saikDon tarah ke hanste hue dum-dar KHayal
phir pareshan mujhe karte hain
main taDap jata hun
be-saKHta kah uThta hun
teri jumbish se numayan hai zamin ki jumbish
ai dum
aalam-e-ghaiz mein dum jab bhi khaDi hoti hai
kya qayamat ki ghaDi hoti hai
kanp jata hai jahan
hosh rustam ke bhi uD jate hain
chaar jaanib se sada aati hai ai dum ai dum
ab to nichi ho ja
aur duniya-e-mohabbat pe kar ehsan ai dum
yani mahbub ke pichhe lag ja
taki dum-dar ye sadiyon ka sitamgar ho jae
aur bhage jo chhuDa kar kabhi apna daman
dum se pakDa jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.