dumba kahani
dumba le kar ghar āñgan meñ pahuñche jab mausūf
begam thī mobile par bad-ḳhūiyoñ meñ masrūf
nazar paḌī jab dumbe par to ho ga.ī āg-bagūlā
kahne lagī thā vaqt burā jab maiñ ne tujhe qubūlā
samajh nahīñ aatī tum ho kis duniyā kī maḳhlūq
mujh ko terī zehnī hālat lagtī hai mashkūk
baḌī 'iid pe le aa.e ho itnā chhoTā dumba
yaad nahīñ thā kyā tum ko bārah afrād kā kumba
haa.e ḳhvāb meñ dekhe maiñ ne tikke aur kabāb
tū ne mere armānoñ kā galā diyā hai daab
jī kartā hai terī hī gardan pe chhurī chalā duuñ
tikkā-boTī kar ke terī ammāñ ko khilvā duuñ
dumba le kar ghar aangan mein pahunche jab mausuf
begam thi mobile par bad-KHuiyon mein masruf
nazar paDi jab dumbe par to ho gai aag-bagula
kahne lagi tha waqt bura jab main ne tujhe qubula
samajh nahin aati tum ho kis duniya ki maKHluq
mujh ko teri zehni haalat lagti hai mashkuk
baDi 'id pe le aae ho itna chhoTa dumba
yaad nahin tha kya tum ko barah afrad ka kumba
hae KHwab mein dekhe main ne tikke aur kabab
tu ne mere armanon ka gala diya hai dab
ji karta hai teri hi gardan pe chhuri chala dun
tikka-boTi kar ke teri amman ko khilwa dun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.