eliots-girls-college aur kul pak o hind mushaera
Interesting Fact
Shaukat Zaidi, the founder of Elite College, wrote this ghazal for the grand Indo-Pak Mushaira that was to be held on May 9 under the auspices of Income Tax Commissioner, Karachi.
ek aise daur meñ aqdār par jab hai savāl
mahfil-e-sher-o-adab karnā hai ik amr-e-muhāl
mahfil-e-sher-o-suḳhan aur vo bhī international
hai unhī kā kaam jin se ab bhī zinda hai ġhazal
hai adab zinda ki kuchh ''ḳhuddām'' aise ab bhī haiñ
ḳhidmat-e-urdu ko jin ke paas paise ab bhī haiñ
ye idāre bhī na karte kaam agar fānūs kā
kuchh na pūchho haal kyā hotā dil-e-māyūs kā
ye idāre bhī na hoñge jab to hai is kā bhī Dar
chaltī-phirtī shā.erī hogī yahāñ har road par
gashtī shā.er road par jā kar lagā.e ye sadā
sher san lo road par hāzir hai ḳhādim aap kā
sher san lo ek misra bhī nahīñ jis meñ ġhalat
paise denā yā na denā daad de denā faqat
Thele par dīvān laayā hai ye shaḳhs is se milo
is kī ġhazloñ kā nayā majmūa do ruupe kilo
kaam lo shā.er se ḳhidmat jis kā qaumī farz hai
road par aa kar vo ḳhud kahtā hai matl.a arz hai
qāfiye kī chuul Dhīlī hai to kasvā lo abhī
hil rahī haiñ jo radīfeñ ham se Thukvā lo sabhī
aaj ye manzar nazar aate nahīñ jo chār-sū
vaj.h is kī kuchh idāre haiñ adab kī aabrū
vo idāre haiñ jo ab bhī sarparast-e-sher-o-fan
in meñ hai ek eliot-college bhī me.amār-e-vatan
'tābish' o 'kaifī' 'qatīl' o 'bedī' o ahmad-'nadīm'
eliot-college meñ aayā hai jo shā.er hai aziim
eliot-college meñ yaum-e-'faiz' manvāyā gayā
yaañ 'ra.īs'-amrohvī ko yaad farmāyā gayā
eliot-college hī vo vāhid idāra hai yahāñ
zer-e-tālīm ab jahāñ haiñ laḌkiyāñ hī laḌkiyāñ
daur-e-āmezish meñ jab har chiiz meñ hai imtizāj
eliot-college meñ ḳhālis laḌkiyāñ paḌhtī haiñ aaj
eliot-college se paayā hai jo sīdhā rāsta
laḌkiyāñ haiñ zevar-e-ta.alīm se ārāsta
daur-e-hāzir meñ to har maañ baap kī hai ye duā
laḌkī de tū eliot-college meñ paḌhvā.e ḳhudā
mujh se kal ye kahtā thā ek educated idiot
eliot-college ke baanī hoñge T.S-eliot
maiñ ne us ko jab batāyā shaukat-e-zaidī kā naam
bolā phir un donoñ ne mil kar kyā hogā ye kaam
kaun samjhā.e use jis meñ kamī knowledge kī hai?
shān-o-shaukat shaukat-e-zaidī se is college kī hai
ek aise daur mein aqdar par jab hai sawal
mahfil-e-sher-o-adab karna hai ek amr-e-muhaal
mahfil-e-sher-o-suKHan aur wo bhi international
hai unhi ka kaam jin se ab bhi zinda hai ghazal
hai adab zinda ki kuchh KHuddam aise ab bhi hain
KHidmat-e-urdu ko jin ke pas paise ab bhi hain
ye idare bhi na karte kaam agar fanus ka
kuchh na puchho haal kya hota dil-e-mayus ka
ye idare bhi na honge jab to hai is ka bhi Dar
chalti-phirti shaeri hogi yahan har road par
gashti shaer road par ja kar lagae ye sada
sher san lo road par hazir hai KHadim aap ka
sher san lo ek misra bhi nahin jis mein ghalat
paise dena ya na dena dad de dena faqat
Thele par diwan laya hai ye shaKHs is se milo
is ki ghazlon ka naya majmua do rupe kilo
kaam lo shaer se KHidmat jis ka qaumi farz hai
road par aa kar wo KHud kahta hai matla arz hai
qafiye ki chul Dhili hai to kaswa lo abhi
hil rahi hain jo radifen hum se Thukwa lo sabhi
aaj ye manzar nazar aate nahin jo chaar-su
wajh is ki kuchh idare hain adab ki aabru
wo idare hain jo ab bhi sarparast-e-sher-o-fan
in mein hai ek eliot-college bhi meamar-e-watan
'tabish' o 'kaifi' 'qatil' o 'bedi' o ahmad-'nadim'
eliot-college mein aaya hai jo shaer hai azim
eliot-college mein yaum-e-'faiz' manwaya gaya
yan 'rais'-amrohwi ko yaad farmaya gaya
eliot-college hi wo wahid idara hai yahan
zer-e-talim ab jahan hain laDkiyan hi laDkiyan
daur-e-amezish mein jab har chiz mein hai imtizaj
eliot-college mein KHalis laDkiyan paDhti hain aaj
eliot-college se paya hai jo sidha rasta
laDkiyan hain zewar-e-talim se aarasta
daur-e-hazir mein to har man bap ki hai ye dua
laDki de tu eliot-college mein paDhwae KHuda
mujh se kal ye kahta tha ek educated idiot
eliot-college ke bani honge TS-eliot
main ne us ko jab bataya shaukat-e-zaidi ka nam
bola phir un donon ne mil kar kya hoga ye kaam
kaun samjhae use jis mein kami knowledge ki hai?
shan-o-shaukat shaukat-e-zaidi se is college ki hai
- Book : Feesabilillah (Pg. 160)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.