fikr-e-nil-o-kashghar rakhta hun main
fikr-e-nīl-o-kāshġhar rakhtā huuñ maiñ
kitnā lambā dard-e-sar rakhtā huuñ maiñ
mustaqil azm-e-safar rakhtā huuñ maiñ
ek foot fōtpath par rakhtā huuñ maiñ
kaun sī chhab us ko aa jaa.e pasand
sau tarah ke bhes bhar rakhtā huuñ maiñ
maiñ parindoñ kā siyāsat-dān huuñ
murġh par tilyar ke par rakhtā huuñ maiñ
itnī lambī car apne mulk maiñ
rakh nahīñ saktā magar rakhtā huuñ maiñ
aadmī ''thar pārkar'' kā huuñ magar
yaar ik ''newyorkar'' rakhtā huuñ maiñ
us kī zulf-e-tā-kamar ke vāste
is qadar moTī kamar rakhtā huuñ maiñ
us ke photo ke sivā kuchh jeb meñ
mujh pe la.anat ho agar rakhtā huuñ maiñ
Dar hai tote hī na khā jaa.eñ mujhe
nāshpātī jaisā sar rakhtā huuñ maiñ
sher amānat hai zamāne kī 'zamīr'
apnā qissa muḳhtasar rakhtā huuñ maiñ
fikr-e-nil-o-kashghar rakhta hun main
kitna lamba dard-e-sar rakhta hun main
mustaqil azm-e-safar rakhta hun main
ek foot footpath par rakhta hun main
kaun si chhab us ko aa jae pasand
sau tarah ke bhes bhar rakhta hun main
main parindon ka siyasat-dan hun
murgh par tilyar ke par rakhta hun main
itni lambi car apne mulk main
rakh nahin sakta magar rakhta hun main
aadmi thar parkar ka hun magar
yar ek newyorkar rakhta hun main
us ki zulf-e-ta-kamar ke waste
is qadar moTi kamar rakhta hun main
us ke photo ke siwa kuchh jeb mein
mujh pe lanat ho agar rakhta hun main
Dar hai tote hi na kha jaen mujhe
nashpati jaisa sar rakhta hun main
sher amanat hai zamane ki 'zamir'
apna qissa muKHtasar rakhta hun main
- Book : sargoshiyan (Pg. 64)
- Author : sayed Zameer jafary
- Publication : dost publications (1998)
- Edition : 1998
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.