ghair ko ishq-e-KHam ne mara
meñDkī ko zukām ne maarā
shab havālāt meñ kaTī saarī
be-tarah shaġhl-e-shām ne maarā
arz-e-matlab pe mere sau dushnām
un ke gaalī gudām ne maarā
bazm-e-jānāñ meñ chaa.e bhī na milī
ġhair ke intizām ne maarā
pī ke do-chār bhī surūr nahīñ
haa.e hotel ke jaam ne maarā
gard ko bhī maiñ us kī pā na sakā
yār-e-motor-ḳhirām ne maarā
vo mujhe jānvar samajhte haiñ
aah! 'laq-laq' ko naam ne maarā
meinDki ko zukaam ne mara
shab hawalat mein kaTi sari
be-tarah shaghl-e-sham ne mara
arz-e-matlab pe mere sau dushnam
un ke gali gudam ne mara
bazm-e-jaanan mein chae bhi na mili
ghair ke intizam ne mara
pi ke do-chaar bhi surur nahin
hae hotel ke jam ne mara
gard ko bhi main us ki pa na saka
yar-e-motor-KHiram ne mara
wo mujhe jaanwar samajhte hain
aah! 'laq-laq' ko nam ne mara
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.