ghalat-fahmi
maiñ nai ik bazm-e-suḳhan meñ kal ġhazal apnī paḌhī
jis ko sun kar ahl-e-mahfil jhuum uTThe vajd se
josh aayā ek sāhab ko to uTh kar josh meñ
ik lifāfa haath meñ chupke se rakh kar chal diye
maiñ ye samjhā is meñ shāyad ek sau kā note hai
kar diyā fil-faur phir us ko havāle jeb ke
jab lifāfa khol kar dekhā to ye uqda khulā
darj thī us meñ sanā-ḳhvānī merī is tarah se
sach to ye hai behtarīn ash.ār farmāte haiñ aap
bazm ko naġhma sunā kar vajd meñ laate haiñ aap
main nai ek bazm-e-suKHan mein kal ghazal apni paDhi
jis ko sun kar ahl-e-mahfil jhum uTThe wajd se
josh aaya ek sahab ko to uTh kar josh mein
ek lifafa hath mein chupke se rakh kar chal diye
main ye samjha is mein shayad ek sau ka note hai
kar diya fil-faur phir us ko hawale jeb ke
jab lifafa khol kar dekha to ye uqda khula
darj thi us mein sana-KHwani meri is tarah se
sach to ye hai behtarin ashaar farmate hain aap
bazm ko naghma suna kar wajd mein late hain aap
- Book : Anwar-e-Tabassum (Pg. 27)
- Author : Mirza Asmatullah Bag Asmat
- Publication : Dakan Studio Abid Circle Hyderabad (1956)
- Edition : 1956
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.