ganj-nama
haath meñ kanghī pakḌe 'arsa biit gayā
sar kī khetī ujḌe 'arsa biit gayā
ā.īna dekheñ to ġhussa aatā hai
sar se Topī utre 'arsa biit gayā
baal kahāñ bas chamak hī baḌhtī jaatī hai
tel aur shampō malte 'arsa biit gayā
rishta māñgeñ to nishta hī sunte haiñ
ḳhvāb meñ Dholak bajte 'arsa biit gayā
ham ne shauq se kab ye sar mu۔nDvāyā thā
ole paḌte paḌte 'arsa biit gayā
chapat lagā kar yaar ye aksar kahte haiñ
aisā model dekhe 'arsa biit gayā
sunā thā ganje qismat vaale hote haiñ
aur sunte hī sunte 'arsa biit gayā
hath mein kanghi pakDe 'arsa bit gaya
sar ki kheti ujDe 'arsa bit gaya
aaina dekhen to ghussa aata hai
sar se Topi utre 'arsa bit gaya
baal kahan bas chamak hi baDhti jati hai
tel aur shampoo malte 'arsa bit gaya
rishta mangen to nishta hi sunte hain
KHwab mein Dholak bajte 'arsa bit gaya
hum ne shauq se kab ye sar mu۔nDwaya tha
ole paDte paDte 'arsa bit gaya
chapat laga kar yar ye aksar kahte hain
aisa model dekhe 'arsa bit gaya
suna tha ganje qismat wale hote hain
aur sunte hi sunte 'arsa bit gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.