Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

har ek luTere ko dusre ka KHayal hoga ye tai hua tha

Badr Muneer

har ek luTere ko dusre ka KHayal hoga ye tai hua tha

Badr Muneer

MORE BYBadr Muneer

    har ik luTere ko dūsre ḳhayāl hogā ye tai huā thā

    barābar us ke baneñge hisse jo maal hogā ye tai huā thā

    ye sinf-e-nāzuk ke naam par tum ne chiiz kyā mere palle bāñdhī

    hasīn hogī aur us ke ‘āriz pe ḳhaal hogā ye tai huā thā

    isī liye to sahāfiyoñ ko ye pur-takalluf dinner diyā hai

    kisī taraf se na koī kaḌvā savāl hogā ye tai huā thā

    police kahāñ se Tapak paḌī hai kahā ye Daaku ne saTpaTā kar

    mudāḳhalat na rattī-bhar ehtimāl hogā ye tai huā thā

    uThā ke laa.e ho talk-show meñ kahāñ se husn-e-kalām vaale

    jo guest haiñ un guftugū meñ jalāl hogā ye tai huā thā

    ye daal roTī mu’āhide ḳhilāf-varzī hai banda-parvar

    hamāre aane pe murġh-e-desī halāl hogā ye tai huā thā

    tumhāre andāz-e-hukmrānī ko dekh kar log dam-ba-ḳhud haiñ

    tumheñ hukūmat milī to koī kamāl hogā ye tai huā thā

    har ek luTere ko dusre ka KHayal hoga ye tai hua tha

    barabar us ke banenge hisse jo mal hoga ye tai hua tha

    ye sinf-e-nazuk ke nam par tum ne chiz kya mere palle bandhi

    hasin hogi aur us ke ‘ariz pe KHal hoga ye tai hua tha

    isi liye to sahafiyon ko ye pur-takalluf dinner diya hai

    kisi taraf se na koi kaDwa sawal hoga ye tai hua tha

    police kahan se Tapak paDi hai kaha ye Daku ne saTpaTa kar

    mudaKHalat ka na ratti-bhar ehtimal hoga ye tai hua tha

    uTha ke lae ho talk-show mein kahan se husn-e-kalam wale

    jo guest hain un ki guftugu mein jalal hoga ye tai hua tha

    ye dal roTi mu’ahide ki KHilaf-warzi hai banda-parwar

    hamare aane pe murgh-e-desi halal hoga ye tai hua tha

    tumhaare andaz-e-hukmrani ko dekh kar log dam-ba-KHud hain

    tumhein hukumat mili to koi kamal hoga ye tai hua tha

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now