hasinon se tumhaari dosti achchhi nahin lagti
hasīnoñ se tumhārī dostī achchhī nahīñ lagtī
buḌhāpe meñ ye ishq-o-āshiqī achchhī nahīñ lagtī
mazā kuchh aur hī thā P.WḌ kī service kā
hameñ ab aur koī naukrī achchhī nahīñ lagtī
election meñ to har voter par apnī jaañ chhiḌakte the
ab in se rahnumāo be-ruḳhī achchhī nahīñ lagtī
khilā.e jo bhī halvā tum usī kā saath dete ho
hameñ vaa.iz tumhārī policy achchhī nahīñ lagtī
ragaḌnā paḌ rahā hai sar har ik voter ke paañv par
isī baa.is to ham ko membarī achchhī nahīñ lagtī
hasinon se tumhaari dosti achchhi nahin lagti
buDhape mein ye ishq-o-ashiqi achchhi nahin lagti
maza kuchh aur hi tha PWD ki serwice ka
hamein ab aur koi naukri achchhi nahin lagti
election mein to har woter par apni jaan chhiDakte the
ab in se rahnumao be-ruKHi achchhi nahin lagti
khilae jo bhi halwa tum usi ka sath dete ho
hamein waiz tumhaari policy achchhi nahin lagti
ragaDna paD raha hai sar har ek woter ke panw par
isi bais to hum ko membari achchhi nahin lagti
- Book : Anwar Masood Se Khalid Masood Tak (Pg. 144)
- Author : Hassan Abbasi
- Publication : Nastaleeq Matbuaat (2004)
- Edition : 2004
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.