hazl
ġhair se thoḌī sī ik din bevafā.ī kar ke dekh
kitnā sachchā pyaar hai merā try kar ke dekh
ḳhat nahīñ likhtā huuñ maiñ mujh ko na ye ilzām de
apnī almārī kī bhī ek din safā.ī kar ke dekh
suuī dhāga haath meñ hai aur koī kapḌā nahīñ
khaal hāzir hai mirī is par kaḌhā.ī kar ke dekh
rū-ba-rū ho yaar to ruḳh apnā us se pher le
apnī qurbat meñ kabhī shāmil judā.ī kar ke dekh
vo hasīna ab za.īfa ho chukī to kyā huā
marsiya hai tū bhī to us kī rubā.ī kar ke dekh
tere baare meñ haiñ mālūmāt kitnī us ke paas
jānñā hai to paḌosī se laḌā.ī kar ke dekh
ghair se thoDi si ek din bewafai kar ke dekh
kitna sachcha pyar hai mera try kar ke dekh
KHat nahin likhta hun main mujh ko na ye ilzam de
apni almari ki bhi ek din safai kar ke dekh
sui dhaga hath mein hai aur koi kapDa nahin
khaal hazir hai meri is par kaDhai kar ke dekh
ru-ba-ru ho yar to ruKH apna us se pher le
apni qurbat mein kabhi shamil judai kar ke dekh
wo hasina ab zaifa ho chuki to kya hua
marsiya hai tu bhi to us ki rubai kar ke dekh
tere bare mein hain malumat kitni us ke pas
jaanna hai to paDosi se laDai kar ke dekh
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.