ek bewafa ki chah kiye ja raha hun main
ik bevafā kī chaah kiye jā rahā huuñ maiñ
aur yūñhī ḳhvāh-maḳhvāh kiye jā rahā huuñ maiñ
jhaḌtī haiñ un ke muñh se jo manzūm gāliyāñ
sun sun ke vaah vaah kiye jā rahā huuñ maiñ
motor lagī huī hai mire cycle ke saath
phaT phaT phaTā phaTāh kiye jā rahā huuñ maiñ
niklā huuñ bazm-e-yār se meñ is tarah se aaj
goyā kisī se byaah kiye jā rahā huuñ maiñ
punjabiyoñ kī haiñ yahī mehmāñ-navāziyāñ
tere liye kaḌāh kiye jā rahā huuñ maiñ
powder se apne chehre ko karte haiñ vo safed
dāḌhī ko yaañ siyāh kiye jā rahā huuñ maiñ
ek bewafa ki chah kiye ja raha hun main
aur yunhi KHwah-maKHwah kiye ja raha hun main
jhaDti hain un ke munh se jo manzum galiyan
sun sun ke wah wah kiye ja raha hun main
motor lagi hui hai mere cycle ke sath
phaT phaT phaTa phaTah kiye ja raha hun main
nikla hun bazm-e-yar se mein is tarah se aaj
goya kisi se byah kiye ja raha hun main
punjabiyon ki hain yahi mehman-nawaziyan
tere liye kaDah kiye ja raha hun main
powder se apne chehre ko karte hain wo safed
daDhi ko yan siyah kiye ja raha hun main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.