ek zara si baat par zalim ne jhagDa kar diya
maiñ ne kyuuñ aḳhbār meñ powder kā charchā kar diyā
jab lagā.ī sharbat-e-dīdār kī but ne sabīl
maiñ ne us ke sāmne miTTī kā loTā kar diyā
sun ke harf-e-mudda.ā vo chal diye jhaTkā ke haath
aah zālim ne mirī ulfat kā jhaTkā kar diyā
ek din maiñ ne kahā thā us ko zālim bevafā
yaar ne haisiyyat-e-urfī kā da.avā kar diyā
shā.iroñ meñ ab kahāñ achchhe bure kā imtiyāz
loud-speaker ne sab kā bol-bālā kar diyā
mere sone par vo aa.e ḳhvāb meñ hañste hue
vaah kyā qismat ne sone-par-suhāgā kar diyā
naukrī karne na paa.e the ki pension mil ga.ī
intizār-e-yār ne 'laq-laq' ko buDDhā kar diyā
main ne kyun aKHbar mein powder ka charcha kar diya
jab lagai sharbat-e-didar ki but ne sabil
main ne us ke samne miTTi ka loTa kar diya
sun ke harf-e-muddaa wo chal diye jhaTka ke hath
aah zalim ne meri ulfat ka jhaTka kar diya
ek din main ne kaha tha us ko zalim bewafa
yar ne haisiyyat-e-urfi ka dawa kar diya
shairon mein ab kahan achchhe bure ka imtiyaz
loud-speaker ne sab ka bol-baala kar diya
mere sone par wo aae KHwab mein hanste hue
wah kya qismat ne sone-par-suhaga kar diya
naukri karne na pae the ki pension mil gai
intizar-e-yar ne 'laq-laq' ko buDDha kar diya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.