jab fida-e-chehra-e-gulnar ho jaenge hum
jab fidā-e-chehra-e-gulnār ho jā.eñge ham
us ke darvāze pe chaukīdār ho jā.eñge ham
is girānī kī tapish mahsūs hogī june tak
jab budget aayā to ThanDe Thaar ho jā.eñge ham
phir mahīna ḳhatm ho jaane ko hai ramzān kā
phir asīr-e-huqqa-o-nasvār ho jā.eñge ham
apnī kashtī case kī mañjdhār meñ hai ab talak
muk mukkā jab kar liyā to paar ho jā.eñge ham
tujh se apnī chashm-e-tar kā ābyāna jab milā
tere dil ke piñD meñ nambar-dār ho jā.eñge ham
gar na chhoḌā jhuuT kahnā ham ne to phir dekhnā
rafta rafta shaam ke aḳhbār ho jā.eñge ham
koī fan bhī jab hamāre kaam na aayā 'vasīm'
pTv pe ik hidāyat-kār ho jā.eñge ham
jab fida-e-chehra-e-gulnar ho jaenge hum
us ke darwaze pe chaukidar ho jaenge hum
is girani ki tapish mahsus hogi june tak
jab budget aaya to ThanDe Thaar ho jaenge hum
phir mahina KHatm ho jaane ko hai ramzan ka
phir asir-e-huqqa-o-naswar ho jaenge hum
apni kashti case ki manjdhaar mein hai ab talak
muk mukka jab kar liya to par ho jaenge hum
tujh se apni chashm-e-tar ka aabyana jab mila
tere dil ke pinD mein nambar-dar ho jaenge hum
gar na chhoDa jhuT kahna hum ne to phir dekhna
rafta rafta sham ke aKHbar ho jaenge hum
koi fan bhi jab hamare kaam na aaya 'wasim'
pTw pe ek hidayat-kar ho jaenge hum
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.