jahan ko qais-o-laila ka fasana yaad aata hai
jahāñ ko qais-o-lailā kā fasāna yaad aatā hai
magar ham ko to college kā zamāna yaad aatā hai
nigah paḌtī hai jab us shoḳh ke ruḳhsār-e-rangīñ par
to mujh ko paintry kā kār-ḳhāna yaad aatā hai
bahātī haiñ jab ashk-e-ġham mirī āñkheñ to ai hamdam
mujhe dariyā-e-jehlum kā dahāna yaad aatā hai
sag-e-lailā se majnūñ ko mohabbat thī to mujh ko bhī
tire kutte kā baḌh kar kaaT khānā yaad aatā hai
raqīb-e-rū-siyah kī gat banānā sahl hai lekin
ThiThak jaatā huuñ maiñ jab mujh ko thāna yaad aatā hai
maiñ un ke phone par milne kā ehsāñ yaad kartā huuñ
mujhe aksar ye lutf-e-ġhā.ebāna yaad aatā hai
jahan ko qais-o-laila ka fasana yaad aata hai
magar hum ko to college ka zamana yaad aata hai
nigah paDti hai jab us shoKH ke ruKHsar-e-rangin par
to mujh ko paintry ka kar-KHana yaad aata hai
bahati hain jab ashk-e-gham meri aankhen to ai hamdam
mujhe dariya-e-jehlum ka dahana yaad aata hai
sag-e-laila se majnun ko mohabbat thi to mujh ko bhi
tere kutte ka baDh kar kaT khana yaad aata hai
raqib-e-ru-siyah ki gat banana sahl hai lekin
ThiThak jata hun main jab mujh ko thana yaad aata hai
main un ke phone par milne ka ehsan yaad karta hun
mujhe aksar ye lutf-e-ghaebana yaad aata hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.