jamal-zada
mire nanhe chāñd mat ro mire shāhazāde so jā
tirī zid kahīñ ai zālim na mujhe rulā de so jā
terā baap mere ghar se mujhe varġhalā ke laayā
huā vasl-dar-jahannam jo mujhe bhagā ke laayā
thā 'jamāl' naam us kā ai jamāl-zāde so jā
tirī zid kahīñ ai zālim na mujhe rulā de so jā
mujhe mohne ko jis ne kiyā roz mujh se dañgā
nahīñ ab vo aane vaalā gayā bhaag vo lafañgā
jise maiñ kabhī na bhūlūñ tū use bhulā de so jā
tirī zid kahīñ ai zālim na mujhe rulā de so jā
vo kivāḌ band kar ke mujhe roz pīTtā thā
kabhī misl-e-chārpā.ī vo mujhe ghasīTtā thā
tū agar hai merā beTā use bad-duā de so jā
tirī zid kahīñ ai zālim na mujhe rulā de so jā
mirī chuTiyā us ne kaaTī mirī Taañg us ne toḌī
mirā kaun hai jahāñ meñ kahāñ jā.ūñ maiñ nigoḌī
jo maiñ kar chukī huuñ us kī na mujhe saaz de so jā
tirī zid kahīñ ai zālim na mujhe rulā de so jā
vo jo āshiqī ke din the vo kabhī ke kaT chuke haiñ
mire bik chuke haiñ zevar mire kapḌe phaT chuke haiñ
kahīñ merī āh-e-sozāñ na tujhe jalā de so jā
tirī zid kahīñ ai zālim na mujhe rulā de so jā
na laboñ pe ab hai surḳhī na vo muñh par ab hai ġhāza
liye jā rahī hai qismat mire ishq kā janāza
kahīñ hādsa ye pāgal na mujhe banā de so jā
tirī zid kahīñ ai zālim na mujhe rulā de so jā
mujhe kaun aasrā de maiñ huuñ shahr meñ akelī
na mirā aziiz koii, na mirī koī sahelī
mire ġham ko mere dukh ko tū hī aasrā de so jā
tirī zid kahīñ ai zālim na mujhe rulā de so jā
mere nanhe chand mat ro mere shahazade so ja
teri zid kahin ai zalim na mujhe rula de so ja
tera bap mere ghar se mujhe warghala ke laya
hua wasl-dar-jahannam jo mujhe bhaga ke laya
tha 'jamal' nam us ka ai jamal-zade so ja
teri zid kahin ai zalim na mujhe rula de so ja
mujhe mohne ko jis ne kiya roz mujh se danga
nahin ab wo aane wala gaya bhag wo lafanga
jise main kabhi na bhulun tu use bhula de so ja
teri zid kahin ai zalim na mujhe rula de so ja
wo kiwaD band kar ke mujhe roz piTta tha
kabhi misl-e-chaarpai wo mujhe ghasiTta tha
tu agar hai mera beTa use bad-dua de so ja
teri zid kahin ai zalim na mujhe rula de so ja
meri chuTiya us ne kaTi meri Tang us ne toDi
mera kaun hai jahan mein kahan jaun main nigoDi
jo main kar chuki hun us ki na mujhe saz de so ja
teri zid kahin ai zalim na mujhe rula de so ja
wo jo aashiqi ke din the wo kabhi ke kaT chuke hain
mere bik chuke hain zewar mere kapDe phaT chuke hain
kahin meri aah-e-sozan na tujhe jala de so ja
teri zid kahin ai zalim na mujhe rula de so ja
na labon pe ab hai surKHi na wo munh par ab hai ghaza
liye ja rahi hai qismat mere ishq ka janaza
kahin hadsa ye pagal na mujhe bana de so ja
teri zid kahin ai zalim na mujhe rula de so ja
mujhe kaun aasra de main hun shahr mein akeli
na mera aziz koi, na meri koi saheli
mere gham ko mere dukh ko tu hi aasra de so ja
teri zid kahin ai zalim na mujhe rula de so ja
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.