jo daDhi monchh idhar ghaeb to choTi hai udhar ghaeb
jo dāḌhī moñchh idhar ġhā.eb to choTī hai udhar ġhā.eb
miyāñ haiñ mū-ba-mū ġhā.eb to biivī sar-ba-sar ġhā.eb
isī se āshiqoñ kī fauj kā andāza kar liije
huā do chaar din meñ ghis-ghisā kar sañg-e-dar ġhā.eb
har ik nā-ahl yuuñ chipkā huā hai apnī kursī se
samajhtā hai ye sarkī aur huā sab karr-o-farr ġhā.eb
na thī bandish qafas meñ chīḳhne aur phaḌphaḌāne kī
ye āzādī milī lab band haiñ aur bāl-o-par ġhā.eb
ḳhudā-hāfiz marīzoñ kā jahāñ hoñ aspatāl aise
ki lā-ta.adād nurseñ haiñ davā aur doctor ġhā.eb
jo daDhi monchh idhar ghaeb to choTi hai udhar ghaeb
miyan hain mu-ba-mu ghaeb to biwi sar-ba-sar ghaeb
isi se aashiqon ki fauj ka andaza kar lije
hua do chaar din mein ghis-ghisa kar sang-e-dar ghaeb
har ek na-ahl yun chipka hua hai apni kursi se
samajhta hai ye sarki aur hua sab karr-o-farr ghaeb
na thi bandish qafas mein chiKHne aur phaDphaDane ki
ye aazadi mili lab band hain aur baal-o-par ghaeb
KHuda-hafiz marizon ka jahan hon aspatal aise
ki la-tadad nursen hain dawa aur doctor ghaeb
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.