jo ho sake to pila dijiye udhaar mujhe
jo ho sake to pilā dījiye udhār mujhe
ki naqd paisoñ se aatā nahīñ ḳhumār mujhe
na utrī halq se bhī aa gayā ḳhumār mujhe
dikhā.ī dete haiñ ik ik ke chaar chaar mujhe
hai merā ishq bhī majnūñ ke ishq kī tausī.a
udhar buḳhār use hai idhar buḳhār mujhe
vazīfa paḌh ke maiñ chande vasūl kartā huuñ
pukārte haiñ sabhī ab vazīfa-ḳhvār mujhe
maiñ da.aiyān ko paise to de ke aayā thā
uThā na jalse meñ pahnāne koī haar mujhe
jise bhī dekhiye bas ghūrtā hai hairat se
banā diyā to nahīñ us ne ishtihār mujhe
banā rahā huuñ maiñ jis shaḳhs kī bhī baisākhī
vo shaḳhs kahtā hai ab pāñchvāñ savār mujhe
thā doctor hī mirā chiḌchiḌā maiñ kyā kartā
nikālā daañt mirā jab ki thā buḳhār mujhe
maiñ nāqidīn ke narġhe meñ phañs gayā huuñ 'rahīm'
dikhā.ī detī nahīñ hai rah-e-farār mujhe
jo ho sake to pila dijiye udhaar mujhe
ki naqd paison se aata nahin KHumar mujhe
na utri halq se bhi aa gaya KHumar mujhe
dikhai dete hain ek ek ke chaar chaar mujhe
hai mera ishq bhi majnun ke ishq ki tausia
udhar buKHar use hai idhar buKHar mujhe
wazifa paDh ke main chande wasul karta hun
pukarte hain sabhi ab wazifa-KHwar mujhe
main daiyan ko paise to de ke aaya tha
uTha na jalse mein pahnane koi haar mujhe
jise bhi dekhiye bas ghurta hai hairat se
bana diya to nahin us ne ishtihaar mujhe
bana raha hun main jis shaKHs ki bhi baisakhi
wo shaKHs kahta hai ab panchwan sawar mujhe
tha doctor hi mera chiDchiDa main kya karta
nikala dant mera jab ki tha buKHar mujhe
main naqidin ke narghe mein phans gaya hun 'rahim'
dikhai deti nahin hai rah-e-farar mujhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.