jo KHuda ko apne maine kisi waqt bhi pukara
jo ḳhudā ko apne maiñ ne kisī vaqt bhī pukārā
to kisī kā kyā hai sājhā to kisī kā kyā ijārā
mujhe zaḳhmī karte karte huā zaḳhmī aap zālim
baḌī mushkiloñ se maiñ ne abhī maarā hai phaTārā
hai ḳhudā ke zikr meñ bhī tujhe is qadar takalluf
ye umūr-e-ḳhair meñ bhī are vaa.iz istiḳhārā
koī bāni-e-jafā hai koī bānī-e-vafā hai
mazā dekhnā hai kyā ho hai muqābla karārā
zarā ik jhalak idhar bhī zarā ik jhalak udhar bhī
rahe ta-ba-hashr qaa.em tire husn kā idāra
baḌe hausle the pahle baḌe valvale the pahle
jo amal kā vaqt aayā hue aap nau-do-gyārā
thī hamārī jitnī daulat use luuT le ga.e but
ye batā rahe haiñ ham ko vo dikhā ke goshvārā
ye na.ī na.ī jafā.eñ ye na.e na.e mazālim
jo ḳhalish hai vo doshīza jo laqab hai vo kañvārā
ye chaman pe chhā gayā hai mire maalī kā talavvun
ki badal rahā hai cholā shab o roz ab nazārā
abhī kūche kūche baaqī asar-darindagī hai
ki zamāna kar rahā hai abhī ḳhuun kā ġharārā
tirī dil-shikan nazar ne kiyā past hausloñ ko
lagā ḳhuun thūkne vo jo zarā sā bhī khañkārā
bhalā 'shauq' dekhūñ kyūñkar ruḳh-e-pur-shikan kā manzar
mire daañt hī kahāñ haiñ jo maiñ khā sakūñ chhuārā
jo KHuda ko apne main ne kisi waqt bhi pukara
to kisi ka kya hai sajha to kisi ka kya ijara
mujhe zaKHmi karte karte hua zaKHmi aap zalim
baDi mushkilon se main ne abhi mara hai phaTara
hai KHuda ke zikr mein bhi tujhe is qadar takalluf
ye umur-e-KHair mein bhi are waiz istiKHara
koi bani-e-jafa hai koi bani-e-wafa hai
maza dekhna hai kya ho hai muqabla karara
zara ek jhalak idhar bhi zara ek jhalak udhar bhi
rahe ta-ba-hashr qaem tere husn ka idara
baDe hausle the pahle baDe walwale the pahle
jo amal ka waqt aaya hue aap nau-do-gyara
thi hamari jitni daulat use luT le gae but
ye bata rahe hain hum ko wo dikha ke goshwara
ye nai nai jafaen ye nae nae mazalim
jo KHalish hai wo doshiza jo laqab hai wo kanwara
ye chaman pe chha gaya hai mere mali ka talawwun
ki badal raha hai chola shab o roz ab nazara
abhi kuche kuche baqi asar-darindagi hai
ki zamana kar raha hai abhi KHun ka gharara
teri dil-shikan nazar ne kiya past hauslon ko
laga KHun thukne wo jo zara sa bhi khankara
bhala 'shauq' dekhun kyunkar ruKH-e-pur-shikan ka manzar
mere dant hi kahan hain jo main kha sakun chhuara
- Book : intekhab-e-kalam shauq bahraichi (Pg. 85)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.