josh par yun jazba-e-be-iKHtiyar aa hi gaya
josh par yuuñ jazba-e-be-iḳhtiyār aa hī gayā
dekh kar un ko barahna mujh ko pyaar aa hī gayā
ġhair jab ḳhalvat se niklā dauḌ kar maiñ ne kahā
dūsrā bhī aap kā ummīd-vār aa hī gayā
thā nazākat se bahut majbūr phir bhī bā'd-e-marg
saalā uThtā baiThtā sū-e-mazār aa hī gayā
us kā siine se lipaTnā thā ki taskīñ ho ga.ī
be-qarārī ko mirī kuchh to qarār aa hī gayā
intizārī meñ kisī ke raat bhar taḌpā kiye
jhūTe vā'da kā kisī ke e'tibār aa hī gayā
un kā bīmār-e-mohabbat sunte hī elān-e-dīd
thaam kar dil girtā paḌtā be-qarār aa hī gayā
ḳhauf-e-badnāmī se go aksar chhupāyā jurm ko
lab par un kā naam phir bhī baar baar aa hī gayā
josh par yun jazba-e-be-iKHtiyar aa hi gaya
dekh kar un ko barahna mujh ko pyar aa hi gaya
ghair jab KHalwat se nikla dauD kar main ne kaha
dusra bhi aap ka ummid-war aa hi gaya
tha nazakat se bahut majbur phir bhi ba'd-e-marg
sala uThta baiThta su-e-mazar aa hi gaya
us ka sine se lipaTna tha ki taskin ho gai
be-qarari ko meri kuchh to qarar aa hi gaya
intizari mein kisi ke raat bhar taDpa kiye
jhuTe wa'da ka kisi ke e'tibar aa hi gaya
un ka bimar-e-mohabbat sunte hi elan-e-did
tham kar dil girta paDta be-qarar aa hi gaya
KHauf-e-badnami se go aksar chhupaya jurm ko
lab par un ka nam phir bhi bar bar aa hi gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.