kala til niswari aankhen
kaalā til nisvārī āñkheñ
haiñ mashkūk tumhārī āñkheñ
sabr kī rishvat maañg rahī haiñ
sājan kī paTvārī āñkheñ
jab bhī shopping karne niklo
fiT kar lo bāzārī āñkheñ
laraz gayā tan merā us ne
aise joḌ ke maarī āñkheñ
paas mire aa bach ke bachā ke
dekhtī haiñ sarkārī āñkheñ
jī meñ hai chhup jā.ūñ un meñ
haa.e tirī almārī āñkheñ
kala til niswari aankhen
hain mashkuk tumhaari aankhen
sabr ki rishwat mang rahi hain
sajan ki paTwari aankhen
jab bhi shopping karne niklo
fiT kar lo bazari aankhen
laraz gaya tan mera us ne
aise joD ke mari aankhen
pas mere aa bach ke bacha ke
dekhti hain sarkari aankhen
ji mein hai chhup jaun un mein
hae teri almari aankhen
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.