kaamyabi ka nusKHa
be-kār gar haiñ aap to ik kaam kījiye
makkhan lagāne vāloñ meñ kuchh naam kījiye
is kaam meñ ziyāda nahīñ koī dauḌ-dhūp
thoḌī ḳhushāmadeñ sahar-o-shām kījiye
hoñ shaiḳh jī to kījiye jhuk kar unheñ salām
panDit ko haath joḌ ke parnām kījiye
kuchh der dum hilā.iye aaqā ke sāmne
phailā ke paañv ghar pe phir ārām kījiye
kyoñ ghar pe apne khā.iye sūkhā chanā maTar
saath un ke hazm pista-o-bādām kījiye
v I P kī ḳhaas attachi bane hue
chāroñ taraf safar sahar-o-shām kījiye
jaa.eñ vo jis maqām pe rahiye unhīñ ke saath
hamrāh un ke shuġhl mai-o-jām kījiye
yārān-e-ham-mazāq kī mahfil sajā.iye
jo muttafiq na ho use badnām kījiye
logoñ pe apnā ro.ab jamāne ke vāste
ghar par bulā ke dāvat-e-hukkām kījiye
be-kār naujavānoñ kā halqa banā.iye
va.ada pa.e-vazīfa-o-in.ām kījiye
chanda baTorne kā bhī gur siikh jā.iye
lachhmī ko jis tarah se bhī ho raam kījiye
smuggler aur kursī-nashīnoñ ke darmiyāñ
pul ban ke len-den kā har kaam kījiye
koThī na.ī black ke dhan se banā.iye
taz.īn-e-farsh-o-tāq-o-dar-o-bām kījiye
jantā kā ḳhuun bechiye paise kamā.iye
kyoñ shikva-hā.e gardish-e-ayyām kījiye
apnī ġharaz ke aage sadā-e-zamīr kyā
saare takallufāt ko nīlām kījiye
ahl-e-hunar kā bazm meñ gul ho chukā charāġh
chamcha-garī ke faiz ko ab aam kījiye
is nusḳha-e-jadīd se gar ho na fā.eda
tab 'jām.ī' ko morid-e-ilzām kījiye
be-kar gar hain aap to ek kaam kijiye
makkhan lagane walon mein kuchh nam kijiye
is kaam mein ziyaada nahin koi dauD-dhup
thoDi KHushamaden sahar-o-sham kijiye
hon shaiKH ji to kijiye jhuk kar unhen salam
panDit ko hath joD ke parnam kijiye
kuchh der dum hilaiye aaqa ke samne
phaila ke panw ghar pe phir aaram kijiye
kyon ghar pe apne khaiye sukha chana maTar
sath un ke hazm pista-o-baadam kijiye
w I P ki KHas attachi bane hue
chaaron taraf safar sahar-o-sham kijiye
jaen wo jis maqam pe rahiye unhin ke sath
hamrah un ke shughl mai-o-jam kijiye
yaran-e-ham-mazaq ki mahfil sajaiye
jo muttafiq na ho use badnam kijiye
logon pe apna roab jamane ke waste
ghar par bula ke dawat-e-hukkaam kijiye
be-kar naujawanon ka halqa banaiye
wada pae-wazifa-o-inam kijiye
chanda baTorne ka bhi gur sikh jaiye
lachhmi ko jis tarah se bhi ho ram kijiye
smuggler aur kursi-nashinon ke darmiyan
pul ban ke len-den ka har kaam kijiye
koThi nai black ke dhan se banaiye
tazin-e-farsh-o-taq-o-dar-o-baam kijiye
janta ka KHun bechiye paise kamaiye
kyon shikwa-hae gardish-e-ayyam kijiye
apni gharaz ke aage sada-e-zamir kya
sare takallufat ko nilam kijiye
ahl-e-hunar ka bazm mein gul ho chuka charagh
chamcha-gari ke faiz ko ab aam kijiye
is nusKHa-e-jadid se gar ho na faeda
tab 'jami' ko morid-e-ilzam kijiye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.