kaha laila ki man ne
Interesting Fact
Inspired by a famous Nazm of the celebrated satirist and poet Akbar Ilahabadi
kahā majnūñ se ye lailā kī maañ ne
ki beTe kyuuñ paḌā hai shahr se duur
karāchī ko banā le ghar yahāñ tū
kisī bhī mil meñ ho jā.egā mazdūr
vo istīfā jo tū ne de diyā thā
abhī tak ho nahīñ paayā hai manzūr
nahīñ ta.alīm kī bhī shart koī
ki ab badle hue haiñ saare dastūr
bas itnī aarzū hai aaj merī
siyāsat meñ tirā hissa ho bharpūr
siyāsī rahnumā the ab se pahle
tire baap aur chachā marhūm o maġhfūr
saḌak par aa ke ye na.ara lagā de
nahīñ hai āmariyyat mujh ko manzūr
agar tū maan le ye maañg merī
to tujh se aqd-e-lailā mujh ko manzūr
abhī mumkin hai us se terī shādī
abhī kuñvārī hai lailā hasb-e-dastūr
kahā majnūñ ne ai lailā kī ammāñ
mujhe kyuuñ vasl par kartī hai majbūr
siyāsat meñ phañsātī hai mujhe kyuuñ
mujhe rahne hī de is gañd se duur
siyāsat se junūñ kā kyā ta.alluq
kujā majnūñ kujā aa.iin o dastūr!
mujhe hairat hai tū kyuuñ chāhtī hai
siyāsat meñ mirā hissa ho bharpūr
rahī shādī to ab is se natīja
na bhar pā.egā is marham se nāsūr
agar das laakh kā tū check de de
to jabran vasl-e-lailā mujh ko manzūr
nahīñ karte haiñ be-rishvat liye kaam
yahī hai majnuoñ kā aaj dastūr
kaha majnun se ye laila ki man ne
ki beTe kyun paDa hai shahr se dur
karachi ko bana le ghar yahan tu
kisi bhi mil mein ho jaega mazdur
wo istifa jo tu ne de diya tha
abhi tak ho nahin paya hai manzur
nahin talim ki bhi shart koi
ki ab badle hue hain sare dastur
bas itni aarzu hai aaj meri
siyasat mein tera hissa ho bharpur
siyasi rahnuma the ab se pahle
tere bap aur chacha marhum o maghfur
saDak par aa ke ye nara laga de
nahin hai aamariyyat mujh ko manzur
agar tu man le ye mang meri
to tujh se aqd-e-laila mujh ko manzur
abhi mumkin hai us se teri shadi
abhi kunwari hai laila hasb-e-dastur
kaha majnun ne ai laila ki amman
mujhe kyun wasl par karti hai majbur
siyasat mein phansati hai mujhe kyun
mujhe rahne hi de is gand se dur
siyasat se junun ka kya talluq
kuja majnun kuja aain o dastur!
mujhe hairat hai tu kyun chahti hai
siyasat mein mera hissa ho bharpur
rahi shadi to ab is se natija
na bhar paega is marham se nasur
agar das lakh ka tu check de de
to jabran wasl-e-laila mujh ko manzur
nahin karte hain be-rishwat liye kaam
yahi hai majnuon ka aaj dastur
- Book : Kulliyat Dilawar Figar (Pg. 612)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.