kalam-e-iqbaal aur begam
uqābī ruuh jab bedār hotī hai zanānī meñ
amaañ shauhar ko phir miltī nahīñ is dār-e-fānī meñ
kalām-e-hazrat-e-iqbāl ke asarāt to dekho
palaTtī aur jhapaTtī hai zarā sī bad-gumānī meñ
ḳhudī ko le ga.ī itnī bulandī par zabardastī
makāñ sah-manzila banvā liyā daur-e-girānī meñ
hue do-nīm us kī Thokaroñ se kāñch ke bartan
hamesha 'aql ko rakhtī hai zid kī pāsbānī meñ
kabhī chamche kabhī kāñTe kabhī ishve kabhī Tisve
ye haiñ biivī kī shamshīreñ jihād-e-zindagānī meñ
mirī shāhīn kī parvāz ke andāz to dekho
baḌhīñ dilchaspiyāñ us kī fizā.ī mezbānī meñ
ye aisī barq hai aksar jo mere sar pe girtī hai
nahīñ hai farq is meñ aur balā-e-nā-gahānī meñ
na.e shām-o-sahar phir kis tarah se maiñ karūñ paidā
buḌhāpā mujh pe taarī ho gayā daur-e-javānī meñ
uqabi ruh jab bedar hoti hai zanani mein
aman shauhar ko phir milti nahin is dar-e-fani mein
kalam-e-hazrat-e-iqbaal ke asaraat to dekho
palaTti aur jhapaTti hai zara si bad-gumani mein
KHudi ko le gai itni bulandi par zabardasti
makan sah-manzila banwa liya daur-e-girani mein
hue do-nim us ki Thokaron se kanch ke bartan
hamesha 'aql ko rakhti hai zid ki pasbani mein
kabhi chamche kabhi kanTe kabhi ishwe kabhi Tiswe
ye hain biwi ki shamshiren jihad-e-zindagani mein
meri shahin ki parwaz ke andaz to dekho
baDhin dilchaspiyan us ki fizai mezbani mein
ye aisi barq hai aksar jo mere sar pe girti hai
nahin hai farq is mein aur bala-e-na-gahani mein
nae sham-o-sahar phir kis tarah se main karun paida
buDhapa mujh pe tari ho gaya daur-e-jawani mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.