ki bas
us ne thāne meñ rapaT kuchh aisī likhvā.ī ki bas
phir police ne kī mirī aisī pazīrā.ī ki bas
ye police vaale kisī ke bhī sage hote nahīñ
in ko rishvat se mile hai vo tavānā.ī ki bas
naukrī mil jaa.e chāhe salary thoḌī ho kam
haañ magar uupar se vo income ho bālā.ī ki bas
maiñ ne begam se kahā hoñge ye bachche kab talak
bolī jab tak apne muñh se kah na de daa.ī ki bas
āj-kal kirdār kā me.aar bhī daulat se hai
itnī sastī ho ga.ī dastār-o-dānā.ī ki bas
haiñ ba-zāhir sab siyāsat-dāñ vatan ke ḳhair-ḳhvāh
aur ba-bātin is qadar daulat ke shaidā.ī ki bas
jism par 'nashtar' koī bhī suiT fiT aatā nahīñ
ho ga.ī hai toñd kī kuchh aisī golā.ī ki bas
us ne thane mein rapaT kuchh aisi likhwai ki bas
phir police ne ki meri aisi pazirai ki bas
ye police wale kisi ke bhi sage hote nahin
in ko rishwat se mile hai wo tawanai ki bas
naukri mil jae chahe salary thoDi ho kam
han magar upar se wo income ho baalai ki bas
main ne begam se kaha honge ye bachche kab talak
boli jab tak apne munh se kah na de dai ki bas
aaj-kal kirdar ka mear bhi daulat se hai
itni sasti ho gai dastar-o-danai ki bas
hain ba-zahir sab siyasat-dan watan ke KHair-KHwah
aur ba-baatin is qadar daulat ke shaidai ki bas
jism par 'nashtar' koi bhi suiT fiT aata nahin
ho gai hai tond ki kuchh aisi golai ki bas
- Book : Post Martum (Pg. 112)
- Author : Nashtar Amrohvi
- Publication : M.R. Publications (2012)
- Edition : 2012
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.