kis qadar zulm-e-ayaadat hua bimar ke sath
kis qadar zulm-e-'ayādat huā bīmār ke saath
us ne column bhī sunā Daalā hai ash'ār ke saath
sirf 'āshiq hī nahīñ chor bhī ho saktā hai
shab ko baiThā hai jo lag kar tirī dīvār ke saath
bīviyāñ chaar agar mere muqaddar meñ nahīñ
koī gap-shap hī karā de mirī do-chār ke saath
ho ga.ī husn-e-samā'at kī rivāyat ruḳhsat
ab to ġhazleñ bhī sunī jaatī haiñ jhankār ke saath
itne zālim na ḳhudā de kisī 'āshiq ko raqīb
jā ke parcha bhī kaTā dete haiñ jo maar ke saath
us kī mehmān-navāzī hai samajh se bāhar
kaaT ke aam khilātā hai jo talvār ke saath
kis qadar zulm-e-'ayaadat hua bimar ke sath
us ne column bhi suna Dala hai ash'ar ke sath
sirf 'ashiq hi nahin chor bhi ho sakta hai
shab ko baiTha hai jo lag kar teri diwar ke sath
biwiyan chaar agar mere muqaddar mein nahin
koi gap-shap hi kara de meri do-chaar ke sath
ho gai husn-e-sama'at ki riwayat ruKHsat
ab to ghazlen bhi suni jati hain jhankar ke sath
itne zalim na KHuda de kisi 'ashiq ko raqib
ja ke parcha bhi kaTa dete hain jo mar ke sath
us ki mehman-nawazi hai samajh se bahar
kaT ke aam khilata hai jo talwar ke sath
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.