kunware ki fariyaad
har mahalle meñ lage haiñ shāmiyāne haa.e haa.e
apnī qismat meñ nahīñ Dholak ke gaane haa.e haa.e
ban ga.e dūlhe hazāroñ apne hāthoñ meñ pale
ham magar ho jā.eñge yūñhī purāne haa.e haa.e
jin pe thī apnī nazar saarī hī Dolī chaḌh ga.iiñ
chūkne the bas hamāre hī nishāne haa.e haa.e
dil ko lagtī hai burī degeñ khaḌakne kī sadā
khā rahe haiñ log rangā-rang khāne haa.e haa.e
jab kabhī sah-bār kānoñ meñ paḌe harf-e-qubūl
dil pe lagte haiñ hazāroñ tāziyāne haa.e haa.e
ro rahe haiñ ruḳhsatī par ham bhī dul.han kī tarah
ham ne bhī dekhe the kuchh sapne suhāne haa.e haa.e
dekhte haiñ jab kisī kī chāñd sī dul.han 'munīr'
hosh phir rahte nahīñ apne Thikāne haa.e haa.e
har mahalle mein lage hain shamiyane hae hae
apni qismat mein nahin Dholak ke gane hae hae
ban gae dulhe hazaron apne hathon mein pale
hum magar ho jaenge yunhi purane hae hae
jin pe thi apni nazar sari hi Doli chaDh gain
chukne the bas hamare hi nishane hae hae
dil ko lagti hai buri degen khaDakne ki sada
kha rahe hain log ranga-rang khane hae hae
jab kabhi sah-bar kanon mein paDe harf-e-qubul
dil pe lagte hain hazaron taziyane hae hae
ro rahe hain ruKHsati par hum bhi dulhan ki tarah
hum ne bhi dekhe the kuchh sapne suhane hae hae
dekhte hain jab kisi ki chand si dulhan 'munir'
hosh phir rahte nahin apne Thikane hae hae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.