kursi-e-sadarat
kursī-e-sadārat par jo bhī shaḳhs baiThā ho
us pe kyā guzartī hai kuchh batā nahīñ saktā
zabt kar ke baiThegā iḳhtitām hone tak
koī bhī taqāzā ho uTh ke jā nahīñ saktā
rok kar hī rakkhegā apnā haath uThne se
jis qadar bhī khujlī ho sar khuja nahīñ saktā
so ga.e dhaḌalle se sāma’īn sīToñ par
niiñd kī parī ko ye paas lā nahīñ saktā
nazr-e-gosh honī haiñ har tarah kī taqrīreñ
koī kuchh bhī kah jaa.e tilmilā nahīñ saktā
sāmne jo baiThe hoñ kuchh hasīn se chehre
shān-e-be-niyāzī se muskurā nahīñ saktā
ho ga.ī kamar sīdhī concrete kī mānind
le ke ek añgḌā.ī chain pā nahīñ saktā
jis kā jab bhī jī chāhe uTh ke vo chalā jaa.e
ye nasīb kā maarā uTh ke jā nahīñ saktā
soch kar jo aayā thā ḳhutba-e-sadārat meñ
ho ga.iiñ vo sab bāteñ ye batā nahīñ saktā
kursi-e-sadarat par jo bhi shaKHs baiTha ho
us pe kya guzarti hai kuchh bata nahin sakta
zabt kar ke baiThega iKHtitam hone tak
koi bhi taqaza ho uTh ke ja nahin sakta
rok kar hi rakkhega apna hath uThne se
jis qadar bhi khujli ho sar khuja nahin sakta
so gae dhaDalle se sama’in siTon par
nind ki pari ko ye pas la nahin sakta
nazr-e-gosh honi hain har tarah ki taqriren
koi kuchh bhi kah jae tilmila nahin sakta
samne jo baiThe hon kuchh hasin se chehre
shan-e-be-niyazi se muskura nahin sakta
ho gai kamar sidhi concrete ki manind
le ke ek angDai chain pa nahin sakta
jis ka jab bhi ji chahe uTh ke wo chala jae
ye nasib ka mara uTh ke ja nahin sakta
soch kar jo aaya tha KHutba-e-sadarat mein
ho gain wo sab baaten ye bata nahin sakta
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.