kutton se KHitab
fikr-e-anjām na kar ghuum ke sansār meñ bhauñk
radio T-v meñ aur media star meñ bhauñk
park meñ road par aur kūcha-o-bāzār meñ bhauñk
sard ho jazba-e-millat to na be-kār meñ bhauñk
roz be-ḳhauf-o-ḳhatar mahfil-e-aġhyār meñ bhauñk
mauqa mil jaa.e to europe ke seminar meñ bhauñk
rāt-bhar saadh le dam sub.h ke aḳhbār meñ bhauñk
dhārmik lai meñ mahāpurshoñ ke darbār meñ bhauñk
dum na terī uThe auhām-parastoñ kī taraf
aañkh terī na rahe rām-parastoñ kī taraf
ruḳh tirā sīdhā ho islām-parastoñ kī taraf
bhuul kar dekh na asnām-parastoñ kī taraf
jab tirī bhauñk kī europe se sadā aatī hai
asian qaum tirī kitnā sukūñ paatī hai
fikr-e-anjam na kar ghum ke sansar mein bhaunk
radio T-w mein aur media star mein bhaunk
park mein road par aur kucha-o-bazar mein bhaunk
sard ho jazba-e-millat to na be-kar mein bhaunk
roz be-KHauf-o-KHatar mahfil-e-aghyar mein bhaunk
mauqa mil jae to europe ke seminar mein bhaunk
raat-bhar sadh le dam subh ke aKHbar mein bhaunk
dhaarmik lai mein mahapurshon ke darbar mein bhaunk
dum na teri uThe auham-paraston ki taraf
aankh teri na rahe ram-paraston ki taraf
ruKH tera sidha ho islam-paraston ki taraf
bhul kar dekh na asnam-paraston ki taraf
jab teri bhaunk ki europe se sada aati hai
asian qaum teri kitna sukun pati hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.