Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kya KHabar thi inqilab-e-asman ho jaega

Hussain meer Kashmiri

kya KHabar thi inqilab-e-asman ho jaega

Hussain meer Kashmiri

MORE BYHussain meer Kashmiri

    kyā ḳhabar thī inqilāb-e-āsmāñ ho jā.egā

    qorma qaliya nasīb-e-ahmaqāñ ho jā.egā

    zulmat-e-bātil ke dāman meñ chhapegā nūr-e-haq

    daal āġhosh meñ qiima nihāñ ho jā.egā

    cake biscuit khā.eñge ullū ke paTThe rāt-din

    aur sharīfoñ ke liye aaTā garāñ ho jā.egā

    control us ke lab-e-shīrīñ pe gar yuuñ rahā

    khānd sharbat nasīb-e-dushmanāñ ho jā.egā

    ai bhune tītar na Dar bāvarchiyoñ qaid se

    peT merā terī ḳhātir āshiyāñ ho jā.egā

    ai sikandar murġh hai shorbā āb-e-hayāt

    ḳhizr bhī us ko agar le javāñ ho jā.egā

    jab ye kahtā huuñ ki kuchh sāmān-e-dāvat kījiye

    vo ye kah kar Taal dete haiñ ki haañ ho jā.egā

    kya KHabar thi inqilab-e-asman ho jaega

    qorma qaliya nasib-e-ahmaqan ho jaega

    zulmat-e-baatil ke daman mein chhapega nur-e-haq

    dal ki aaghosh mein qima nihan ho jaega

    cake biscuit khaenge ullu ke paTThe raat-din

    aur sharifon ke liye aaTa garan ho jaega

    control us ke lab-e-shirin pe gar yun hi raha

    khand ka sharbat nasib-e-dushmanan ho jaega

    ai bhune titar na Dar bawarchiyon ki qaid se

    peT mera teri KHatir aashiyan ho jaega

    ai sikandar murgh ka hai shorba aab-e-hayat

    KHizr bhi us ko agar pi le jawan ho jaega

    jab ye kahta hun ki kuchh saman-e-dawat kijiye

    wo ye kah kar Tal dete hain ki han ho jaega

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now