kya scene chal raha hai
āñkhoñ se nafratoñ kā laavā ubal rahā hai
har shaḳhs guftugū meñ sho'le ugal rahā hai
tahzīb kī hadoñ se bāhar nikal rahā hai
lagtā hai jaise koī dil ko masal rahā hai
kyā scene chal rahā hai
tūfān-e-bad-tamīzī jugteñ haiñ gāliyāñ haiñ
vo desk baj rahe haiñ nā're haiñ tāliyāñ haiñ
thuuk uḌ rahī hai muñh se chehroñ pe lāliyāñ haiñ
dekho fazāoñ meñ vo juutā uchhal rahā hai
kyā scene chal rahā hai
ik dūsre pe ghaTiyā ilzām dhar rahe haiñ
pagḌī uchhālne meñ had se guzar rahe haiñ
badnām ho ke apnā kyā naam kar rahe haiñ
jo zī-shu’ūr hai vo bas haath mal rahā hai
kyā scene chal rahā hai
kursī kisī ne pheñkī maarā kisī ne dhakkā
is ne lagāyā chaukā us ne lagāyā chhakkā
aivān meñ hai jaarī har samt aT-khaḌakkā
jamhūriyat kā paudā yuuñ phūl-phal rahā hai
kyā scene chal rahā hai
hotī hai pārTī ke hukmoñ pe jī-huzūrī
qaumī mafād un ko lagtā nahīñ zarūrī
aa kar assembliyoñ meñ karte haiñ niiñd puurī
ḳhvāboñ kī chāshnī se leader machal rahā hai
kyā scene chal rahā hai
majrūh gar ho un kā thoḌā sā haq kahīñ pe
baḌhtā hai un kā b.p paḌte haiñ bal jabīñ pe
paañv paTaḳh rahe haiñ nafrat se ye zamīñ pe
zahrīlī guftugū se aivān jal rahā hai
kyā scene chal rahā hai
kānoñ meñ paḌ rahī haiñ bāteñ tijāratoñ kī
ummīdvāriyāñ haiñ tigḌī vazāratoñ kī
buniyād bas yahī hai saarī sharāratoñ kī
offer kā lafz sun kar patthar pighal rahā hai
kyā scene chal rahā hai
jo aurteñ haiñ un kī matching bahut hai pyārī
aatī haiñ parlour se saj-dhaj ke roz saarī
fashion kā competition aivān meñ hai jaarī
dil kitne memberoñ kā un par phisal rahā hai
kyā scene chal rahā hai
auroñ ke vāste vo qānūn kyā banā.eñ
jo ḳhud hī zābtoñ kī haiñ dhajjiyāñ uḌā.eñ
qaumī mafād un ko ham yaad kyā dilā.eñ
jis ko kaheñ ujālā zulmat meñ Dhal rahā hai
kyā scene chal rahā hai
aankhon se nafraton ka lawa ubal raha hai
har shaKHs guftugu mein sho'le ugal raha hai
tahzib ki hadon se bahar nikal raha hai
lagta hai jaise koi dil ko masal raha hai
kya scene chal raha hai
tufan-e-bad-tamizi jugten hain galiyan hain
wo desk baj rahe hain na're hain taliyan hain
thuk uD rahi hai munh se chehron pe laliyan hain
dekho fazaon mein wo juta uchhal raha hai
kya scene chal raha hai
ek dusre pe ghaTiya ilzam dhar rahe hain
pagDi uchhaalne mein had se guzar rahe hain
badnam ho ke apna kya nam kar rahe hain
jo zi-shu’ur hai wo bas hath mal raha hai
kya scene chal raha hai
kursi kisi ne phenki mara kisi ne dhakka
is ne lagaya chauka us ne lagaya chhakka
aiwan mein hai jari har samt aT-khaDakka
jamhuriyat ka pauda yun phul-phal raha hai
kya scene chal raha hai
hoti hai parTi ke hukmon pe ji-huzuri
qaumi mafad un ko lagta nahin zaruri
aa kar assembliyon mein karte hain nind puri
KHwabon ki chashni se leader machal raha hai
kya scene chal raha hai
majruh gar ho un ka thoDa sa haq kahin pe
baDhta hai un ka bp paDte hain bal jabin pe
panw paTaKH rahe hain nafrat se ye zamin pe
zahrili guftugu se aiwan jal raha hai
kya scene chal raha hai
kanon mein paD rahi hain baaten tijaraton ki
ummidwariyan hain tigDi wazaraton ki
buniyaad bas yahi hai sari shararaton ki
offer ka lafz sun kar patthar pighal raha hai
kya scene chal raha hai
jo aurten hain un ki matching bahut hai pyari
aati hain parlour se saj-dhaj ke roz sari
fashion ka competition aiwan mein hai jari
dil kitne memberon ka un par phisal raha hai
kya scene chal raha hai
auron ke waste wo qanun kya banaen
jo KHud hi zabton ki hain dhajjiyan uDaen
qaumi mafad un ko hum yaad kya dilaen
jis ko kahen ujala zulmat mein Dhal raha hai
kya scene chal raha hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.