lag gae hain phone lagne mein jo pachchis sal
Interesting Fact
"25 saal baad Telephone laga, magar laga to!" According to a news report from Nawa-e-Waqt Karachi, the Federal Ombudsman, Mr. Sardar Muhammad Iqbal Sahib, has issued a directive in the name of the top officials of the Telephone Department to give a telephone to a citizen of Karachi who had applied for a telephone 25 years ago. The Federal Ombudsman also said in his directive that the telephone department should pay Rs 5,000 to the complainant as compensation. I wrote this poem without any prior directive.
lag ga.e haiñ phone lagne meñ jo pachchīs saal
is ḳhabar se kyuuñ huā paidā diloñ meñ ishti.āl
aadmī allāh kā shākir rahe har haal meñ
ba.az paudoñ par samar aatā hai sau sau saal meñ
shukr kī jā hai huī shāḳh-e-tamannā bār-āvar
der se aayā magar aayā to Daalī par samar
mohtasib aalā kī koshish qābil-e-tahsīn hai
phone kā lagnā kamāl-e-adl hai aa.iin hai
is kā ġham kyā kyuuñ lage is kaam meñ pachchīs saal
in dafātir meñ nahīñ hai ye koī pahlī misāl
lag gayā is kaam meñ Time to kyuuñ hai barhamī?
shukr adā kiije ki zinda rah gayā ye aadmī
mahkama T-&-T kā is ko Tahlātā rahā
phir bhī ye insān apne dil ko bahlātā rahā
hausla meñ vāqa.ī vo shaḳhs rakhtā hai kamāl
mubtalā jo āzmā.ish meñ rahā pachchīs saal
āḳhir ik din ḳhatm ye lambī kahānī ho ga.ī
mohtasib aalā kī is par mehrbānī ho ga.ī
shaḳhs-e-mazkūra na badlā aur is daurān meñ
jaane kitne daur badle apne pākistān meñ
jaane kitnī baar badlā rañg-e-dau-e-iqtadār
ho ga.iiñ tabdīl sarkāreñ yahāñ kitnī hī baar
bistar-e-sarkār kitnī baar bañdh bañdh kar khulā
ek ne bistar lapeTā ek kā bistar khulā
surḳhiyāñ badlīñ musalsal shauq ke mazmūn kī
rah ga.ī qaa.em magar darḳhvāst telephone kī
itne saal is mulk meñ kab ek sā Time rahā
laal fiita phir bhī apnī vaz.a par qaa.em rahā
daad do T-&-T vāloñ kī rāh-e-rāst ko
itne arse daabe rakhā sirf ik darḳhvāst ko
ye salīqa sirf T-&-T ko hai maula kī den
ek file ko kiyā itne baras tak maintain
ḳhairiyat guzrī kahīñ ġhā.eb na file ho ga.ī
aur kisī afsar kī bīnā.ī na zaa.il ho ga.ī
daad do us ko bhī jo is vaqt tak zinda rahā
jis ko har din intizār-e-sub.h-e-ā.inda rahā
naujavānī meñ jo ik darḳhvāst dī thī phone kī
ab huī manzūr jab kam hai harārat ḳhuun kī
shukr adā kiije huī to ḳhatm shām-e-intizār
is kā kyā shikva ki būḌhā ho gayā ummīd-vār
lag gayā phone aa ga.ī saa.at mubārakbād kī
baap kī arzī se qismat khul ga.ī aulād kī
saare ghar vaale piyeñge ghar meñ jab jaam aa.egā
phone vālid kā sahī aulād ke kaam aa.egā
lag gae hain phone lagne mein jo pachchis sal
is KHabar se kyun hua paida dilon mein ishtial
aadmi allah ka shakir rahe har haal mein
baz paudon par samar aata hai sau sau sal mein
shukr ki ja hai hui shaKH-e-tamanna bar-awar
der se aaya magar aaya to Dali par samar
mohtasib aala ki koshish qabil-e-tahsin hai
phone ka lagna kamal-e-adl hai aain hai
is ka gham kya kyun lage is kaam mein pachchis sal
in dafatir mein nahin hai ye koi pahli misal
lag gaya is kaam mein Time to kyun hai barhami?
shukr ada kije ki zinda rah gaya ye aadmi
mahkama T-&-T ka is ko Tahlata raha
phir bhi ye insan apne dil ko bahlata raha
hausla mein waqai wo shaKHs rakhta hai kamal
mubtala jo aazmaish mein raha pachchis sal
aaKHir ek din KHatm ye lambi kahani ho gai
mohtasib aala ki is par mehrbani ho gai
shaKHs-e-mazkura na badla aur is dauran mein
jaane kitne daur badle apne pakistan mein
jaane kitni bar badla rang-e-dau-e-iqtadar
ho gain tabdil sarkaren yahan kitni hi bar
bistar-e-sarkar kitni bar bandh bandh kar khula
ek ne bistar lapeTa ek ka bistar khula
surKHiyan badlin musalsal shauq ke mazmun ki
rah gai qaem magar darKHwast telephone ki
itne sal is mulk mein kab ek sa Time raha
lal fita phir bhi apni waza par qaem raha
dad do T-&-T walon ki rah-e-rast ko
itne arse dabe rakha sirf ek darKHwast ko
ye saliqa sirf T-&-T ko hai maula ki den
ek file ko kiya itne baras tak maintain
KHairiyat guzri kahin ghaeb na file ho gai
aur kisi afsar ki binai na zail ho gai
dad do us ko bhi jo is waqt tak zinda raha
jis ko har din intizar-e-subh-e-ainda raha
naujawani mein jo ek darKHwast di thi phone ki
ab hui manzur jab kam hai hararat KHun ki
shukr ada kije hui to KHatm sham-e-intizar
is ka kya shikwa ki buDha ho gaya ummid-war
lag gaya phone aa gai saat mubarakbaad ki
bap ki arzi se qismat khul gai aulad ki
sare ghar wale piyenge ghar mein jab jam aaega
phone walid ka sahi aulad ke kaam aaega
- Book : Feesabilillah (Pg. 64)
- Author : Dilawar Figar
- Publication : educational publishing house delhi (2011)
- Edition : 2011
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.