laila-e-crruption
aa.ī hai mire shahar meñ ik shoḳh hasīna
sarshār javānī hai ki sāvan kā mahīna
ra.anā.ī ke tevar haiñ ki tūfāñ kā qarīna
ik mahshar-e-jazbāt hai zālim kī javānī
mastāna adā.eñ haiñ ki dariyā kī ravānī
har muñh meñ bhar aatā hai jise dekh ke paanī
shoḳhī hai ki barsāt kī ganghor ghaTā.eñ
yā bazm-e-ḳharābāt kī maḳhmūr havā.eñ
yā vādī-e-kashmīr kī mas.hūr fazā.eñ
har shaḳhs ko jām-e-mai-e-dīdār pilā kar
har dil meñ charāġh apnī tamannā kā jalā kar
har ruuh meñ vāraftagī-e-shauq baḌhā kar
yuuñ chheḌ diyā us ne mohabbat kā tarāna
ik aan meñ tasḳhīr huā saarā zamāna
ushshāq bhulā baiThe zuleḳhā kā fasāna
vaise to phañsāne meñ vo mushtāq baḌī hai
har shaḳhs pe har dil pe nazar us kī gaḌī hai
jī-jān se lekin vo dafātir pe paḌī hai
sarkār ke daftar kā assistant bechāra
Takrā gayā us shoḳh kī nazroñ se qazā rā
aur farz kī baazī meñ barī tarah se haarā
faa.ez haiñ magar ohda-e-ālī pe jo afsar
zālim kī mohabbat meñ hue aape se bāhar
haal un ke dil-e-zār kā har dil se hai abtar
us dushman-e-īmāñ ne kisī ko bhī na chhoḌā
jo is ke muqābil the ġhurūr un kā bhī toḌā
dil apnī taraf qaum ke leader kā bhī moḌā
jo desh ke sevak the ahinsā ke pujārī
ḳhud un se hasīna ne kahā maiñ huuñ tumhārī
aur un pe bhī ulfat kā junūñ ho gayā taarī
ab desh kī sevā kī bhalā kyā hai zarūrat
ab vaqt kahāñ hai jo kareñ qaum kī ḳhidmat
ab vo haiñ aur us shoḳh kī āġhosh-e-mohabbat
aai hai mere shahar mein ek shoKH hasina
sarshaar jawani hai ki sawan ka mahina
ranai ke tewar hain ki tufan ka qarina
ek mahshar-e-jazbaat hai zalim ki jawani
mastana adaen hain ki dariya ki rawani
har munh mein bhar aata hai jise dekh ke pani
shoKHi hai ki barsat ki ganghor ghaTaen
ya bazm-e-KHarabaat ki maKHmur hawaen
ya wadi-e-kashmir ki mashur fazaen
har shaKHs ko jam-e-mai-e-didar pila kar
har dil mein charagh apni tamanna ka jala kar
har ruh mein waraftagi-e-shauq baDha kar
yun chheD diya us ne mohabbat ka tarana
ek aan mein tasKHir hua sara zamana
ushshaq bhula baiThe zuleKHa ka fasana
waise to phansane mein wo mushtaq baDi hai
har shaKHs pe har dil pe nazar us ki gaDi hai
ji-jaan se lekin wo dafatir pe paDi hai
sarkar ke daftar ka assistant bechaara
Takra gaya us shoKH ki nazron se qaza ra
aur farz ki bazi mein bari tarah se haara
faez hain magar ohda-e-ali pe jo afsar
zalim ki mohabbat mein hue aape se bahar
haal un ke dil-e-zar ka har dil se hai abtar
us dushman-e-iman ne kisi ko bhi na chhoDa
jo is ke muqabil the ghurur un ka bhi toDa
dil apni taraf qaum ke leader ka bhi moDa
jo desh ke sewak the ahinsa ke pujari
KHud un se hasina ne kaha main hun tumhaari
aur un pe bhi ulfat ka junun ho gaya tari
ab desh ki sewa ki bhala kya hai zarurat
ab waqt kahan hai jo karen qaum ki KHidmat
ab wo hain aur us shoKH ki aaghosh-e-mohabbat
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.