laKHt-e-jigar
raat ik teacher ke ghar laḳht-e-jigar paidā huā
vaañ bajā.e shād-kāmī shor-o-shar paidā huā
saath bar-ḳhurdār ke rotā thā us kā baap bhī
ro ke kahtā thā kahāñ o be-ḳhabar paidā huā
maiñ muḳhālif maañ muḳhālif aur hukūmat bhī ḳhilāf
dushman-e-mansūba-bandī! tū magar paidā huaa!
maiñ to paidāvār huuñ saste zamāne kī miyāñ
tū batā is daur meñ kyā soch kar paidā huā
daur-e-jamhūrī meñ bañgladesh jaanā thā tujhe
aksariyyat chhoḌ kar zālim idhar paidā huā
maañ tirī nargis jise kahte haiñ roī bhī nahīñ
tū chaman meñ kis tarah ai dīda-var paidā huā
tū mire haq meñ hai ḳhvāja-dil-mohammad kā savāl
hal na hogā umr bhar go muḳhtasar paidā huā
is daf.a bachcha samajh kar chhoḌe detā huuñ tujhe
maar Dālūñgā agar bār-e-digar paidā huā
raat ek teacher ke ghar laKHt-e-jigar paida hua
wan bajae shad-kaami shor-o-shar paida hua
sath bar-KHurdar ke rota tha us ka bap bhi
ro ke kahta tha kahan o be-KHabar paida hua
main muKHalif man muKHalif aur hukumat bhi KHilaf
dushman-e-mansuba-bandi! tu magar paida hua!
main to paidawar hun saste zamane ki miyan
tu bata is daur mein kya soch kar paida hua
daur-e-jamhuri mein bangladesh jaana tha tujhe
aksariyyat chhoD kar zalim idhar paida hua
man teri nargis jise kahte hain roi bhi nahin
tu chaman mein kis tarah ai dida-war paida hua
tu mere haq mein hai KHwaja-dil-mohammad ka sawal
hal na hoga umr bhar go muKHtasar paida hua
is dafa bachcha samajh kar chhoDe deta hun tujhe
mar Dalunga agar bar-e-digar paida hua
- Book : Muntakhab Shahekar Mazahiya Shayari (Pg. 128)
- Author : Roohi Kunjahi
- Publication : Alhamd Publications (1992)
- Edition : 1992
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.