latifa
nahlā rahā thā jaaḌe meñ billī ko ek shaḳhs
maiñ ne kahā ki ThanD se mar jā.egī ye yaar
kahne lagā ki jaao karo apnā kaam tum
sun kar ye baat ho gayā gaaḌī meñ maiñ savār
lauTā jab apne kaam se to dekhtā huuñ kyā
billī marī paḌī hai vo baiThā hai sogvār
ruk kar kahā ye maiñ ne ki āḳhir ko mar ga.ī
sun kar ye baat bolā mirī ho ke be-qarār
ye hai ġhalat ki sardī se billī guzar ga.ī
maiñ ne ise nichoḌ diyā is se mar ga.ī
nahla raha tha jaDe mein billi ko ek shaKHs
main ne kaha ki ThanD se mar jaegi ye yar
kahne laga ki jao karo apna kaam tum
sun kar ye baat ho gaya gaDi mein main sawar
lauTa jab apne kaam se to dekhta hun kya
billi mari paDi hai wo baiTha hai sogwar
ruk kar kaha ye main ne ki aaKHir ko mar gai
sun kar ye baat bola meri ho ke be-qarar
ye hai ghalat ki sardi se billi guzar gai
main ne ise nichoD diya is se mar gai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.