london shahar mein
jab se uchhlī shaiḳh kī dastār london shahr meñ
shāziya ne phūñk dī shalvār london shahar meñ
uḌ rahā hai har taraf ab regzāroñ kī tarah
shaiḳh kī dastār kā har taar london shahr meñ
jin ko apne des meñ aatī na thī apnī zabāñ
vo nikāleñ ab ka.ī aḳhbār london shahr meñ
ham to is london kā rakkheñge koī achchhā sā naam
ho ga.e jis vaqt ḳhud-muḳhtār london shahr meñ
aañkh TeḌhī zulf naqlī aur masnūī palak
hai ye kāle-baḳhsh kā dildār london shahr meñ
jab se uchhli shaiKH ki dastar london shahr mein
shaziya ne phunk di shalwar london shahar mein
uD raha hai har taraf ab regzaron ki tarah
shaiKH ki dastar ka har tar london shahr mein
jin ko apne des mein aati na thi apni zaban
wo nikalen ab kai aKHbar london shahr mein
hum to is london ka rakkhenge koi achchha sa nam
ho gae jis waqt KHud-muKHtar london shahr mein
aankh TeDhi zulf naqli aur masnui palak
hai ye kale-baKHsh ka dildar london shahr mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.