machchharon se pareshan ho kar
āj-kal tum se jo rahtī hai mulāqāt kī raat
ya.anī mehmān rahā karte ho tum raat kī raat
aaj itnā batā do ki hai jazbāt kī raat
ḳhud ko tum din ke ujāle se bachāte kyuuñ ho
ye to batlāo ki tum raat meñ aate kyuuñ ho
tum se merī to koī ranjish-e-bejā bhī nahīñ
tum ko mahsūs kiyā hai kabhī dekhā bhī nahīñ
tum se milne kī mujhe koī tamannā bhī nahīñ
ḳhvāh-maḳhvāh mujh se ta.alluq ko baḌhāte kyuuñ ho
ye to batlāo ki tum raat meñ aate kyuuñ ho
mere kamre meñ agar koī sajāvaT bhī nahīñ
gandagī bikhrī ho utnī to girāvaT bhī nahīñ
pakke rāgoñ se mujhe koī lagāvaT bhī nahīñ
bhairvīñ aa ke mire kaan meñ gaate kyuuñ ho
ye to batlāo ki tum raat meñ aate kyuuñ ho
kisī halvā.ī kī bhaTTī pe bhī jā kar dekho
apnā ye raag vahāñ bhī to sunā kar dekho
sūrmā ho to kabhī din meñ bhī aa kar dekho
tum añdhere meñ sadā tiir chalāte kyuuñ ho
ye to batlāo ki tum raat meñ aate kyuuñ ho
sūkhe pattoñ maiñ jalātā nahīñ apne ghar meñ
chemical bhī koī laatā nahīñ apne ghar meñ
maiñ kisī ko bhī satātā nahīñ apne ghar meñ
tum bhī be-vaj.h mire yaar satāte kyuuñ ho
ye to batlāo ki tum raat meñ aate kyuuñ ho
kashtī-e-vasl shab-e-tār meñ khe sakte the
zaḳhm dete hue marham bhī to de sakte the
bosa lenā thā to āhista bhī le sakte the
is qadar shiddat-e-jazbāt dikhāte kyuuñ ho
ye to batlāo ki tum raat meñ aate kyuuñ ho
tum se bachhḌā bhī to kyā ḳhaak qarār aa.egā
sub.h hogī to mujhe jaaḌā buḳhār aa.egā
mixture aa.egā to zāhir hai udhār aa.egā
muflisī meñ ye nayā ḳharch baḌhāte kyuuñ ho
ye to batlāo ki tum raat meñ aate kyuuñ ho
laakh fariyād kī par ek na tum ne maanī
tum na baaz aa.e bahut jism pe chādar taanī
ab to kuchh din se lagā letā huuñ machchhar-dānī
shaam hī se ye havālāt dikhāte kyuuñ ho
ye to batlāo ki tum raat meñ aate kyuuñ
tum ko DhūñDā na ho maiñ ne kabhī aisā bhī nahīñ
tum pahuñchte ho jahāñ haath pahuñchtā hai vahīñ
kyā karūñ maiñ ki mire haath bhī aate ho kahīñ
varna ye pūchhtā tum bhaag ke jaate kyuuñ ho
ye to batlāo ki tum raat meñ aate kyuuñ ho
aa.egā vaqt kā tūfān to pachhtāoge
sūkhe pattoñ kī tarah tum bhī bikhar jāoge
tum bhī kyā garm havāoñ meñ Thahar pāoge
aur kuchh roz ho tum shor machāte kyuuñ ho
ye to batlāo ki tum raat meñ aate kyuuñ ho
aaj-kal tum se jo rahti hai mulaqat ki raat
yani mehman raha karte ho tum raat ki raat
aaj itna bata do ki hai jazbaat ki raat
KHud ko tum din ke ujale se bachate kyun ho
ye to batlao ki tum raat mein aate kyun ho
tum se meri to koi ranjish-e-beja bhi nahin
tum ko mahsus kiya hai kabhi dekha bhi nahin
tum se milne ki mujhe koi tamanna bhi nahin
KHwah-maKHwah mujh se talluq ko baDhate kyun ho
ye to batlao ki tum raat mein aate kyun ho
mere kamre mein agar koi sajawaT bhi nahin
gandagi bikhri ho utni to girawaT bhi nahin
pakke ragon se mujhe koi lagawaT bhi nahin
bhairwin aa ke mere kan mein gate kyun ho
ye to batlao ki tum raat mein aate kyun ho
kisi halwai ki bhaTTi pe bhi ja kar dekho
apna ye rag wahan bhi to suna kar dekho
surma ho to kabhi din mein bhi aa kar dekho
tum andhere mein sada tir chalate kyun ho
ye to batlao ki tum raat mein aate kyun ho
sukhe patton main jalata nahin apne ghar mein
chemical bhi koi lata nahin apne ghar mein
main kisi ko bhi satata nahin apne ghar mein
tum bhi be-wajh mere yar satate kyun ho
ye to batlao ki tum raat mein aate kyun ho
kashti-e-wasl shab-e-tar mein khe sakte the
zaKHm dete hue marham bhi to de sakte the
bosa lena tha to aahista bhi le sakte the
is qadar shiddat-e-jazbaat dikhate kyun ho
ye to batlao ki tum raat mein aate kyun ho
tum se bachhDa bhi to kya KHak qarar aaega
subh hogi to mujhe jaDa buKHar aaega
mixture aaega to zahir hai udhaar aaega
muflisi mein ye naya KHarch baDhate kyun ho
ye to batlao ki tum raat mein aate kyun ho
lakh fariyaad ki par ek na tum ne mani
tum na baz aae bahut jism pe chadar tani
ab to kuchh din se laga leta hun machchhar-dani
sham hi se ye hawalat dikhate kyun ho
ye to batlao ki tum raat mein aate kyun
tum ko DhunDa na ho main ne kabhi aisa bhi nahin
tum pahunchte ho jahan hath pahunchta hai wahin
kya karun main ki mere hath bhi aate ho kahin
warna ye puchhta tum bhag ke jate kyun ho
ye to batlao ki tum raat mein aate kyun ho
aaega waqt ka tufan to pachhtaoge
sukhe patton ki tarah tum bhi bikhar jaoge
tum bhi kya garm hawaon mein Thahar paoge
aur kuchh roz ho tum shor machate kyun ho
ye to batlao ki tum raat mein aate kyun ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.