mahfil mein jis jagah bhi mera tazkira hua
mahfil meñ jis jagah bhī mirā tazkira huā
dekhā har ek shaḳhs kā muñh thā phulā huā
urdu ke vāste na kiyā us ne kuchh kabhī
urdu ke naam se hai ghar us kā bharā huā
ġhurbat-kade kā hashr to honā thā bas yahī
logoñ ke aane jaane se ik rāsta huā
mil to nahīñ ga.ī koī dokān-e-shā.irī
phirtā hai jo akaḌ ke vo shā'ir banā huā
har samt qatl-e-'ām hai aur shahr qatl-gāh
hākim hai shāhrāh pe gum-sum khaḌā huā
nausha banā ke chhoḌā mire dushmanoñ ne ab
phirtā huuñ us ke saath meñ tosha banā huā
mere hī muñh pe merī ġhazal vo sunā gayā
aisā bhī mere saath yahāñ hādisa huā
maiñ be-hisī ke shahr meñ rahtā huuñ is tarah
sāgar kināre jaise ho putlā khaḌā huā
rahne do yuuñ hī hañstā-hañsātā 'rahīm' ko
chheḌo na us ko dosto dil hai dukhā huā
mahfil mein jis jagah bhi mera tazkira hua
dekha har ek shaKHs ka munh tha phula hua
urdu ke waste na kiya us ne kuchh kabhi
urdu ke nam se hai ghar us ka bhara hua
ghurbat-kade ka hashr to hona tha bas yahi
logon ke aane jaane se ek rasta hua
mil to nahin gai koi dokan-e-shairi
phirta hai jo akaD ke wo sha'ir bana hua
har samt qatl-e-'am hai aur shahr qatl-gah
hakim hai shahrah pe gum-sum khaDa hua
nausha bana ke chhoDa mere dushmanon ne ab
phirta hun us ke sath mein tosha bana hua
mere hi munh pe meri ghazal wo suna gaya
aisa bhi mere sath yahan hadisa hua
main be-hisi ke shahr mein rahta hun is tarah
sagar kinare jaise ho putla khaDa hua
rahne do yun hi hansta-hansata 'rahim' ko
chheDo na us ko dosto dil hai dukha hua
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.