mai’de mein ho rahi hai jalan tumko is se kya
mai’de meñ ho rahī hai jalan tum ko is se kyā
tum ne to khā liyā hai mutton tum ko is se kyā
tum ne to das hazār kā joḌā pahan liyā
TuuTe hue haiñ mere button tum ko is se kyā
AC chalā ke kamre meñ chādar bhī oḌh lī
jaltā rahā kisī kā badan tum ko is se kyā
niklī ho parlour se fresh face le ke tum
lagtā huuñ maiñ jo kālī-charan tum ko is se kyā
tum ne to apne boss ko muTThī meñ kar liyā
daftar meñ ho jo mujh ko ghuTan tum ko is se kyā
auroñ ke paas jaao hañso aur khilkhilāo
māthe pe mere aa.e shikan tum ko is se kyā
mai’de mein ho rahi hai jalan tum ko is se kya
tum ne to kha liya hai mutton tum ko is se kya
tum ne to das hazar ka joDa pahan liya
TuTe hue hain mere button tum ko is se kya
AC chala ke kamre mein chadar bhi oDh li
jalta raha kisi ka badan tum ko is se kya
nikli ho parlour se fresh face le ke tum
lagta hun main jo kali-charan tum ko is se kya
tum ne to apne boss ko muTThi mein kar liya
daftar mein ho jo mujh ko ghuTan tum ko is se kya
auron ke pas jao hanso aur khilkhilao
mathe pe mere aae shikan tum ko is se kya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.