maulwi sare yahi kahte hain suniye hazraat
maulvī saare yahī kahte haiñ suniye hazrāt
zindagī naam hai khāte hue mar jaane kā
murġh chāhe ho kisī kā use qaabū kar lo
taaki aa jaa.e maza tum ko dinner khāne kā
saas aa jaa.e to kyuuñ ghar se chipak jaatī hai
ye muamma hai samajhne kā na samjhāne kā
raat ko sofe pe soyā maiñ baḌī mushkil se
ye thā in.aam mire der se ghar aane kā
itnī nārāz hai biivī mirī mujh se ki vo
pūchhtī rahtī hai har ik se pata thāne kā
bhayyā biivī se Daro baat na us kī Taalo
varna andesha hai phir bhuuk se mar jaane kā
apnī shoḳhī se na baaz aa.e tum ab bhī 'hammād'
shaiḳh se pūchh liyā rāsta mai-ḳhāne kā
maulwi sare yahi kahte hain suniye hazraat
zindagi nam hai khate hue mar jaane ka
murgh chahe ho kisi ka use qabu kar lo
taki aa jae maza tum ko dinner khane ka
sas aa jae to kyun ghar se chipak jati hai
ye muamma hai samajhne ka na samjhane ka
raat ko sofe pe soya main baDi mushkil se
ye tha inam mere der se ghar aane ka
itni naraaz hai biwi meri mujh se ki wo
puchhti rahti hai har ek se pata thane ka
bhayya biwi se Daro baat na us ki Talo
warna andesha hai phir bhuk se mar jaane ka
apni shoKHi se na baz aae tum ab bhi 'hammad'
shaiKH se puchh liya rasta mai-KHane ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.