mujhko gharib aur qaraz-dar dekh kar
mujh ko ġharīb aur qaraz-dār dekh kar
mujh se vo duur hai mujhe be-kār dekh kar
paidal hameñ jo dekh ke katrāte the kabhī
ab lift māñgte haiñ vahī kaar dekh kar
ushshāq saare mar ga.e un ke to dekhiye
pachhtā rahe haiñ ab hameñ bīmār dekh kar
ab rahnumā.ī karne se katrā rahe haiñ sab
mash.hūr rahnā ko sar-e-dār dekh kar
kal raat us ne baajī bhī māshūq ko kahā
us ghar meñ us kī ammā ko bedār dekh kar
muflis thā jab galī meñ bhī ghusne nahīñ diyā
ab rishta de rahe haiñ vahī kaar dekh kar
jab tum hasīn the to kabhī baat tak na kī
ab ro rahe ho zof ke āsār dekh kar
niklā siñghār-ḳhāne se tū ban sañvar ke yuuñ
maiñ Dar gayā thā kal tujhe ai yaar dekh kar
achchhā hai koī to kare aapas meñ tāñk-jhāñk
kyuuñ jal rahā hai be-vaj.h tū pyaar dekh kar
'vāmiq' kabhī to ham bhī bahut hī sharīf the
bigḌā hai ye mizāj v-c-r dekh kar
mujh ko gharib aur qaraz-dar dekh kar
mujh se wo dur hai mujhe be-kar dekh kar
paidal hamein jo dekh ke katraate the kabhi
ab lift mangte hain wahi kar dekh kar
ushshaq sare mar gae un ke to dekhiye
pachhta rahe hain ab hamein bimar dekh kar
ab rahnumai karne se katra rahe hain sab
mashhur rahna ko sar-e-dar dekh kar
kal raat us ne baji bhi mashuq ko kaha
us ghar mein us ki amma ko bedar dekh kar
muflis tha jab gali mein bhi ghusne nahin diya
ab rishta de rahe hain wahi kar dekh kar
jab tum hasin the to kabhi baat tak na ki
ab ro rahe ho zof ke aasar dekh kar
nikla singhaar-KHane se tu ban sanwar ke yun
main Dar gaya tha kal tujhe ai yar dekh kar
achchha hai koi to kare aapas mein tank-jhank
kyun jal raha hai be-wajh tu pyar dekh kar
'wamiq' kabhi to hum bhi bahut hi sharif the
bigDa hai ye mizaj w-c-r dekh kar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.